WordPress Site me Favicon Kaise Add kare?

How to Add Favicon icon in WordPress Site Hindi

Hello Friends, Aj hum apko batane wale hai ki, WordPress Site me Favicon icon kaise add kare, aur kaise ap aysa karke, apni website ko ek acchi branding de sakte hain, ya achi identity de sakte hain.

Agar ap ek blogger hain, ya apne abhi-abhi apna blogging career start kia hai, to apko apne Content ke sath-sath apni Website ka bhi accha dhyan rakhna padta hai, aur uske liye apko bahot si chize karni padti hain, apni website ko ek acha look dena padta hai, to aj hum isiliye ek khass feature joki hai, Favicon.

Jyse ki apko Facebook ka blue color ka icon dekh kar samajh aajata hai ki wo facebook ki site, aur aur bhi bahot saari websites ke icon ko dekh kar apko samajh aajata hai ki wo konsi site hai.

Related:

Favicon kya hai?

To baat aati hai aakhir ye Favicon hai kya? aur iska use hum qu karte hain. To Friends Favicon ek terah ka choota sa icon hota hai jo ki apko kisi bhi website ke tab par show hota hai, jiska ki size 512×512 pixels ka hota hai, ya isse bhi kum hota hai.

Favicon apko kisi bhi browser me jab ap koi website open karte hain, to uske Tab me ek icon show hota hai, wahi Favicon hota hai. example ke liye ap niche digai image me deakh sakte hain. Internet par apni Website ki Acchi image banaane ke liye ye sab chizzen bahot important hoti hain.

favicon 3

WordPress Site me Favicon kaise add kare

WordPress site me Favicon add karne ke liye apko jada pareshan nahi hona padega, quki ye bahot aasani se ap kar sakkte hain. Iske liye bas apko apne site ka logo ya jo bhi image ap Favicon me lagana chhate hain, usee Upload karna hoga.

Favicon baane ke ap ye dhyaan rakhe ki jo apke logo ka size hoga wo 512×512 Pixels ka ya isse kam he hona chaiye, aur isko formate kisi bhi image ke formate me hona chaiye.

Agar apko Image ka Size kam karne me koi pareshani aarahi ho to ap niche digai websites ki help se apne website ke liye Favicon bana sakte hain. Apko bas in site me jaakar apna Logo upload karna hai, aur apka Favicon ban jaayega.

Favicon banaane ke baad ab apko usko WordPress site me upload karna hai, uske liye apko niche diye gaye instructions ko follow karna hai.

Step 1: Apko sabse pehle WordPress Dasboard me Login karke Appearance > Customize me jaana hai.

favicon 1

Step 2: Ab apko Site identity me jaana hai, waha apko logo ka option milega, phir waha par apko Sabse niche aakar Site icon me click karke waha par apna logo upload karna hai.

favicon 2

Favicon upload karne ke baad apko apne page ko publish karna hai, aur apko Favicon upload ho jayega.

Ab apko pata chal gya hoga ki WordPress Site me Favicon Kaise Add karte hain. aur agar apko koi pareshani aarahi ho Favicon upload karne me to ap humse niche diye gaye comment box me puch sakte hain, hum apki help karne ki puri kosis karenge.

Aysi Posts ke liye HindiMeInfo ko Follow kare FacebookTwitter, Join FB Group uar Subscribe kare YouTube Channel ko

Leave a Comment