WordPress ke liye sabse achi Image Compression Plugin konsi hai

Image Compression Plugin ke baare me jaane Hindi me

Hello, Aj hum janenge apni website ke liye sabse important aur achi Image Compression Plugin jo humare liye bahot important hai. Humare pass ayse bahot se options rehte hai jinse ki hum apne site ki images ka size kam kar lete hai, lakin kai bar image ki quality khrb hojati hai, jysi original image hoti hai, wysi nahi reh jati hai.

Aage badhne se pehle hum thoda kuch images aur unke formates ke baare me janenge.

JPEG, PNG, SVG – Ye tino sabse jada popular image file types/formate hai, humara jada focus JPEG aur PNG images par hoga quki ye jada use hone wale image formates hai.

JPEG jada tar high-fidelity images jyse ki Photos aur web graphics jinme transparency nahi hoti hai, unke liye ye formate jo use kia jata hai.

PNG jada tar logos aur icons ke liye use kia jata hai, quki png file transparency ke liye use kia jada hai, aur ye compress bhi hojati hai jada.

Hum images ko kitna compress kar sakte hai?

Hum jab bhi apni images ko compress karte hai, tab hum sochte hai ki hum bina image ki quality ko kam kare image ke size ko kam kar de. Ek photography studio ko apne kam ko show karne ke liye high quality ki images rakhni padti hai, lakin wahi agar koi website hai toh unko wahi image ki size ka kam se kam karna padta hai, quki agar ko size kam nahi karnge toh unki site loading time kam ho sakta hai.

Best Image Compression Plugins ki List

1. reSmush.it

banner 1

reSmush.it ek bahot achi wordpress image compressor plugin hai aur ye bahot jada iamges ki size ko kam karta hai, hum aj jitni bhi plugins ke baare me bata rahe hai, unme se ye plugin sabse best hai, ye sabse achi plugin hai jisme apni images bina kuch quality kam ke size kam kar sakte hai. ap esme 5MB tak ki iamges ka size kam kar sakte hai, aur unko resize kar sakte hai.




2. Smush By WPMU Dev

banner 3

Smush ek free wordpress Image Compression tool hai, ap esme ap apni images ka size kam kar sakte hai. eske liye apka internet connection fast hona chaiye, aur ye JPEG aur PNG Files ko support karta hai. Smuch plugin ko ap apni wordpress site par upload kar ke apni images ko compress kar sakte hai, aur agar apko ye achi alge to ap eska Pro version bhi le sakte hai, jime apko aur bhi ache features mil jaynge.

Useful Links: 

3. TinyPNG

banner 3

TinyPNG ek bahot acha tool hai aur Hindimeinfo ke sabhi images TinyPNG me he compress hoti hai, TinyPNG me apki image ki quality 1% bhi kam nahi hoti hai, aur size bhi kam ho jata hai. TinyPNG ki Plugin ko ap install kar sakte hai, ya phir ap iski website par jakar direct images ko compress kar sakte hai, ap isme ek sath 20 photos ko compress kar sakte hai, same time me, aur agar ye apko achi alge toh ap isko Pro version bhi le sakte hai.

4. Imagify

banner 4

Imagify bhi TinyPNG ke jysa web-based image compressor hai, aur eski WordPress plugin bhi apko mil jyegi. Eski plugin se apki images direct apke upload karte he apki site me kam size ki ho jyngi. Ye ek bahot achi WordPress Image Compression Plugin hai, aur ye 4.5 top ratings ke sath WordPress par listed hai.




5. ShortPixel Image Optimizer

banner 2

ShortPixel ek aur acha image compression plugin hai, esme images ka size kam karne ke liye apko sabse pehle API key lena hoga, jo apko apke email par milega, jab ap esme register kar lenge. API Key milne ke baad ap apni images ko isme compress kar sakte hai. eske free version se ap 100 images tak ko compress kar sakte hai, wo bhi 1-month ke liye, agar apko aur jada images ko compress karna ho toh phir apko eska premium version lena hoga. ShortPixel bahot sare aur bhi advance features ke sath aata hai jo apke liye helpful ho sakta hai.

Sayad ab apko samjh aagya hoga ya apki kuch help hogai hogi esh post se aur ab apko samjh aagya hoga ki konsi apke liye best Image Compression Plugin hogi. Agar apko kuch puchna ho ye post se relate ya phir apka koi question ho ja ap humse puchna chahte hon, toh wo ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hai.

Apko kosi Plugin achi lagi? hume jarur bataye niche diye gye comment box me 🙂

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko




Leave a Comment