Table of Contents
PAN Card Kya hai, PAN Card ki Puri Jankari
Hello Dear Reader, Aj hum Ish Post me Janenge ki PAN Card Kya hota hai, aur PAN Card se related Jankari apko bataynge, Toh Dhyan se Ish Post ko Read kare aur PAN Card kya hai, iski Puri Jankari Paaiye.
PAN Cad Kya Hai?
PAN Card ka Full Form hai Permanent Account Number, Aur Ye Ek Terh ka Account Number hota hai, jisko ki Department of Income TAX, issue karti hai. PAN Card 10-digit ke Number’s aur Alphabet ko add karne ke baad banta hai, Joki ek Unique 10-digit ka Number hota hai. PAN Card Number Kuch ish Terh ka hota hai ABCD4561H. Ye Number Department of Income TAX ko apke Financial Transactions se related puri information deta hai, Ye Income TAX Department ki bhi help karta hai, ye jaane ke liye ki koi Aadmi TAX Time par Pay kar raha hai ya nahi. PAN Card Sabse Pehle 1964 me Start hua tha, aur abhi tak chalta aaraha hai.
PAN Card hona Q Jaruri hai?
- Ye ek terh se jaruri hai, ki agar ap 18 Year se uper ke hai, toh apke pass PAN card ho, aur jab bhi ap koi Bank Account Open karnge tab apko sabse jada jarurat agar kisi chiz ki padegi toh wo hogi PAN Card ki.
- PAN Card me Apka Name, Photo aur Signature hota hai, aur ap isko apne Idntity ke roop me kahi bhi use kar sakte hai.
- PAN Card sirf TAX Bharne wale log nahi banwate hai, balki iska use jo log Job karte hai, unko bhi iski jarurat hoti hai, taki unko sallery dene me aasani ho.
- Apke Ghar Banane se lekar koi bhi property lene tak har jagh PAN Card ki jarurat hoti hai, aur yaha tak ki apki Koi Bike ya Car khareed ne ke liye bhi iski jarurat hoti hai.
Also Read:
PAN Card Kaisa hota hai, aur iske Number ka kya matlb hai
PAN Card me 10-Digit ke Alphabet aur Numbers hote hai, jinme Pehle ke 5 Words English ke Alphabet ke hote hai, aur algle 4-digit Number ke hote hai aur ek last ka digit Alphabet hota hai. Ye Pure Digit ush aadmi ki puri information rakhne ke liye banye jaate hai, aur ek PAN crad number kabhi bhi aur ke PAN card number se match nahi ho sakta hai. Aaiye ye jo 10-digit ka PAN card number hai, iske baare me jaante hai ki iske Alphabet aur Number ka matbl kya hai.
PAN Crad niche Diye gye Alphabet ke kuch alphabet se milkar banta hai.
A- Association of Persons
B- Body of Individuals
C- Company
F- Firm
G- Government
H- Hindu Undivided Family
L- Local Authority
J- Artificial Juridical Person
T- Trust
Kiske Pass PAN Card hona jaruri hai?
Sabhi Taxpayers joki TAX bharte hai, joki Job karte ho, kisi chize ko bana kar usko market me sell karte hon, Jo ki ache paise earn karte ho, aur joki apna khud ka koi Business karte ho, unsabhi logo ke pass PAN card hona jaruri hota hai, taki wo Time par TAX bhar sakte aur iska fayda le sake. Koi bhi aadmi ya kisi ki koi bhi company ya firm ho toh unka bhi PAN Card hota hai, aur unke pass PAN card hona jaruari bhi hota hai.
PAN Card ke liye kaise Apply kare
Ap PAN Card ko Internet se Online bhi apply kar sakate hai aur Offline bhi apply kar sakte hai.
Agar ap Online PAN Card banwana chahte hai, toh iske liye ap Income TAX Departmeent ki Website incometaxindia.gov.in ya tin-nsdl.com ya utiitsl.com me jakar apna PAN card banwanae ke liye Apply kar sakte hai.
Agar apko Online PAN card apply karne me koi paresahani aati hai, ya ap apply nahi kar paa rahe hai, toh ap Offline bhi PAN card ke liye Apply kar sakte hai, Offline PAN card Apply karne ke liye ap apne city me kisi Seva kendra me jakar bhi PAN card banwa sakte hai, ya ajakl toh PAN card baneane ke liye bahot saare Agents hai, joki apse thoda jada paise lekar apka PAN acrd banwa denge.
PAN Card ko banwane ke liye apko Rs. 107 dene honge, ya phir isse jada bhi lag sakte hai. Agar ap online PAN Card banwate hai toh ap online payment kar ke paise de sakte hai, aur agar ap offine payment karnge toh sayad apko Rs. 160 tak bhi dena pad sakta hai. Jab ap PAN Card ki liye apply karte hai, tab apply hone ke baad apko ek Number milta hai, jisse ap apne PAN card ka Status aur uske baare me Detail jaan sakte hai ki wo kaha hai, aur kab tak apko miljayega, jysa ki ap online shopping karte time karte hai.
PAN Card ko Apply karne ke liye kon-kon se Documents ki jarurat hoti hai?
- Sabse pehle toh apke pass Apki latest Passport Size Photo honi chaiye.
- Apki Date of birth ke liye apke pass Birth certificate, Education Certificate, Passport, driving license me se koi bhi ek document hona jarurui hai, aur apko unki Photo copy ki jarurat padegi.
- Ap apni Identity ke liye apna Aadhar card, Voter ID Card, aur Ration Card jaise Documnets ka bhi use kar sakte hai.
- Apke Address Proof ke liye agar apke kisi document me apka Permanent Address nahi hai, toh uske liye apko Aadhar card, telephone bill ya electricity bill ki help se address proof de sakte hai.
In sabhi jarurai documents se ap apna PAN card banwa sakte hai, aur ek bar ye sab documents verify hone ke baad aage ki process hone ke baad apko apka PAN card apke diye huye Address par mil jayega. PAN card apko 15-20 dino me apke ghar me by Post apko mil jayega.
Toh Dear Reader ab sayad apko PAN Card kya hai, ye Q jarurai hai, isko kaise banwaye aur iska kya use hai, iske baare me purai jankari mil gai hogi, aur agar apko abhi bhi koi baat ya koi point samajh nahi aaya ho toh ap humse niche diye gye comment box me apna Question puch sakte hai, apko ye artical kaisa laga hume jarur bataye, aur post ko apne friends aur family ke sath bhi jarur Share kare.
Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.
Read More- Pan card में फोटो कैसे चेंज करें? फोटो और हस्ताक्षर बदलने की जानकारी।
bahut he badiya post likhi hai apne pan card banawane ki, agar ap duplicate pan card download karna chahte hai hamare blog ko bhi visit jarur kare.
ji jarur thanks