Table of Contents
Whatsapp on Computer
ji han doston Mobile ke sath sath computer par bhi whatsapp chalaya ja sakta hai wo bhi bina kisi parshani ke. whatsapp team samay samay par naye feature lati rahti hai taki user ka interest bhi bana rahe aur unhe suvidhyen bhi milen. whatsapp men bahut se aise feature hain jo ki pahle nahi the lekin baad men jode gaye hai taki logon ka whatsapp ke prati craze kam na ho aur yahi karan hai ki aaj bhi Whatsapp ko sabse jyada pasand kiya jata aur upyog me laya jata hai.
Whatsapp Status, Document Sharing, Location Sharing,Contact Sharing, Web Whatsapp aur abhi hal hi men Reply Feature & Whatsapp Stickers joda gaya hai jise logon dwara bahut pasand kiya ja raha hai .
Aaj ham aapko Web Whatsapp ke bare men jankari denge waise naam to suna hi hoga yadi nahi bhi suna hai to koi baat nahi post ko pura padhiye aur whatsapp ke is feature ka maja lijye.
Web Whatsapp Hai Kya ?
Whatsapp dwara banaya gaya web portal jiski madad se aap apne computer ya laptop me bhi whatsapp ko chala saken.iske liye kuch steps follow karne hote hain jise 30 second se bhi kam men pura kiya ja sakta hai. neeche kuch steps diye ja rahe hain aap bhi same process ko follow karte jayen aur apne computer par whatsapp chalayen.
Step 1: Apnaa computer on karen aur web Browser URL men type karen https://web.whatsapp.com/ ya to Google Search karen “Web Whatsapp” aur First link open karen.
Step 2: Ab mobile men apna whatsapp open karen Menu Tab men jakar Whatsapp Web par click karen aisa karne par aapka Back Camera on ho jayega. Jisme Code Scan karne ke liye kaha jayega aur ek Green line upar se neeche move karegi.
Step 3: Apko is tarah se mobile QR Scaner ko Step 1 men dikhaye gaye computer sreen QR code ko scan karna hai. Aisa scan karen ki Scanner box men QR code aa jaye. QE code scan hote hi Whatsapp Web Activate ho jayega.
Step 4: Is tarah se aap apne Desktop ya laptop men whatsaap ko chala sakenge. yaad rakhe internet connection computer aur mobile dono men men hona chahiye anyatha aap whatspp ko access nahi kar payenge.
Ish Post ko apne friends aur family ke sath bhi jarur share kare, aur unko bhi bataye ki desktop/computer me whatsapp kaise chalate hain.
Aysi Posts ke liye HindiMeInfo ko Follow kare Facebook, Twitter, Join FB Group uar Subscribe kare YouTube Channel ko