Android ya IOS Mobile me Jio Ads ko kaise band kare

Jio Ads ko kaise band kare apne smartphone me

Hello Dear readers, Jbse Jio 4G SIM aai hai tab se hum usko use kar rahe hai, aur humne aksar ye dekha hai ki Jio ke bahot saare Ads hume show hone lagte hai. Jab bhi hum Jio ki koi si App ko open karte hai tab toh hume ad dikhte hai, lakin jab hum App ko band kar dete hai, tab bhi Ads humko Show karte hai. Yaha tak ki jab bhi hum kisi se phone par baat kar rahe hote hai aur, baat karne ke baad jyse he call ko band karte hai, wyse he umhe Jio ke Ads apne mobile screen me dikhne lagte hai, kabhi-kabhi Ads aaye toh thik hai, lakin agar bar-bar Ads aaye to ye acha nahi hai.

Jio ke Ads jada tar Jio apps ki wajh se show hote hai, lakin phir bhi agar Apne apne mobile me Jio apps ko install nahi kia hai, tab bhi hume Ads show karti hai. Jio apne promotional Ads hume show karta rehta hai. Jysa ki hum aysi bahot se Apps use karte hai, aur unme Ads show hoti hai, lakin sahi apps esh tarh se ads nahi show karti hain jysa ki Jio karta hai. Toh chaliye kuch alag-alag points se jante hai ki kyse hum Apne Smartphone me Ads ko block ya permanent band kar sakte hai Ads show karne se.

Also Read:-

stop jio ads

Important Points Jio me Ads ko band karne ke liye

1. Ek kam to ap ye kar sakte hai, ki ap Jio ki jitni bhi Apps hai, chahe wo MyJio, Jio 4G ya phir aur bhi koi Jio app ho usko apne mobile se uninstall kar de.

2. Ap Settings me jaakar apps ki notifications se leakr sab kuch off karke bhi Ads ko band kar sakte hai.

3. Android Users jo ki Android OS v6.0 se uper ke Smartphones ko use kar rahe hai wo, ye step ko follow kare, go to Settings > Apps > MyJio, aur jitni bhi chize dikh rahi hai sabko off kar dijiye. Aysa he sabhi Jio Apps ke sath kare.

4. Ap apne Mobile ko Root karke, usme AdAway jo ki ek Ads ko mobile me block karne ke liye banya gya hai, usko install karke Ads show hone wali apps ko IP Addresses ko block kar sakte hai.

5. Mobile me ‘Telephone’ access jo ki sabhi Jio apps me hota hai, usko band kare, agar ap Jio Mags use karte hai, oh sabse pehle uska Access band kare quki Jio Mags me automatically ye on hojata hai.

Jysa ki kai bar ye sabhi chize karne ke baad bhi Ads nahi band hoti hai, toh phir ayse me kya kare, uske liye hum Ek or kam kar sakte hai.

Hum Jio ko contact kar ke mobile me show ho rahe apps ko band karwa sakte hai, quki kai bar ye hota hai ki, Jio ke Ads ko sirf Jio he band kar sakta hai, toh ayse me ap Jio se contact kar ke apne mobile me show ho rahe Jio Apps ke Ads ko humesha ke liye band karwa sakte hai. Apne apne Mobile Number se Jio helpline me call karke Ads ko band karwa sakte hai. Ek bar Ads band hojyngi uske baad apko jio ke koi b ads mobile me dubara show nahi honge.

So ab sayad apko apne mobile me Jio Ads ko band karne ka solution mil gya hoga, aur agar abhi bhi apko kuch samjh nahi aaya ho, ya ap abhi bhi kuch puchna chahte hai, ya apka koi question ho toh wo ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hai. Aur ap Twitter me @JioCare me help maang kar apni baad bata kar help le sakte hai.

 

Leave a Comment