Table of Contents
Post Reading Time Add kare apni WordPress Site me
Hello Hindimeinfo ke readers, aj hum shikhnge ki kyse WordPress ki Post me hum Estimated Post Reading Time ko apni post me add kar ke user ko Post ko read karne ka total time show kar sakte hai.
Jab humne pehli bar Reading time ke bare me suna aur dekha to bahot acha laga. ye apke users ko bhi bahot acha lagega, esse apke users ko ye pata chal jyega ki unko apki post read karne me kitna time lagega.
Jyse hume ye features acha laga hai, wyse he ye apko aur apke readers ko bhi acha lagega, quki ese unhe bahot acha mauka milega ye janne ka ki post ko read karne me kitna time lagega.
Aagr ye feature hum use karte hai, ya agar ap ek blogger hai toh ye feature apke liye bahot acha ho sakta hai, ye feature ka ek aur plus point hai, jab humne eske baare me research kia toh hume pata laga ki ye apke site me posts ke Bounce Rate ko bhi bahot kam kar deta hai.
Agar apko apni Website banwani hai toh ap Hindimeinfo ke sath apni website banwa sakte hai, aur information ke liye niche digai Link me click kare.
[su_button url=”https://hindimeinfo.com/website-banwaye/” target=”blank” style=”stroked” size=”5″]Website Banwaye[/su_button]
Apne Blog me Post Reading Time kaise add kare?
Jysa ki humne abhi tak ye jaana ki, kyse hum ye feature ko apne blog me add karke apne readers ki help kar sakte hai, aur unko kuch extra information bhi de sakte hai, jyse ki apke reader ko ye pata chal jyega ki apne jo post likhi hai, usko read karne me total kitna time lagega. Esse Users ko post ko read karne ya na karne me bhi help milegi.
Agar ap apna blog WordPress me chalate hai toh apko sayad ye pata hoga ki ye feature WordPress me pehle se nahi aata hai. Aur apko eske liye ek WordPress plugin ka use karna hoga, Jiska name hai Reading Time WP
Reading Time WP Plugin se ap Post reading time automatically aur manually (Shortcodes) ka use karke kar sakte hai.
Step 1: Install Reading Time WP Plugin
Reading Time WP ko Install karne ke liye apne Dashboard se Plugins > Add New me click kare
Ab Search Box me Reading Time WP ke name se search kare, jab apko jysa niche digai image me diya gya hai aysi plugin dikhe toh usko Install kar ke Activate kar len.
Step 2: Reading Time WP ka Setup kare
Jab ap Plugin ko activate kar lenge uske baad ye automatically activate hojyegi aur apki Post-Reading Time apke post me dikhna start hojyegi.
Agar apko esko On/Off karna ho toh wo ap Setting page se kar sakte hai, aur bhi bahot se changes ap apne hisab se esme kar sakte hai.
Note: Plugin ko install karne se pehle ya kuch bhi karne se pehle apne site ka backup jarur le len, ya ap apne site ke developer ki bhi help le sakte hai.
Useful post: Sabse achi aur sasti web hosting konsi hai.
Kuch aur bhi achi plugins hai Post Reading Time ke liye
1. Swift Bar
Swift bar me apko Reading time ke sath-sath apko aur bhi acha feature jyse ki Share buttons aur, post ka Title, Author ka name, Next/Previous buttons ka bhi option milta hai.
Ye bhi ek bahot achi plugin hai Reading post ke liye, lakin ye plugin me apko reading time ki jagh, progress bar me show hoga ki, kitna time lagega apko, koi bhi post ko read karne ke liye apko ek line show hogi, jyse-jyse ap aage read karte jaynge apko dikhega ki line bhi aage badh rahi hai.
3. WP Time Read
WP Time Read ke achi plugin hai, lakin ye ek paid plugin hai jo ki MyThemeShop ne develop ki hai,. Ye ek bahot achi plugin hai jo apke liye bahot helpful hosakti hai. Ye ek responsive plugin hai aur esme ap Shortcodes, progress bar, aur progress bar ka color bhi change kar sakte hai.
Wyse to WordPress ke liye aysi bahot se aur bhi plugins hai, jo ki post reading time ke liye use ho sakti hai lakin, humne bahot search karke ye kuch plugins ke baare me apko batya hai, aur bhi bahot si plugins hai lakin wo bahot time se update nahi hui hai, aur latest WordPress version ke hisab se bhi achi nahi hai.
Toh kysi lagi ye post apko, jarur batye hume comment box me, aur apko kuch samjh nahi aaya ho ya ap kuch puchna chate hai toh ap comment box me puch sakte hai, ya ap apna koi suggestion bhi de sakte hai.
Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko
Good Information Hai
Thanks Kuldeep 🙂
Thanks, Kuldeep 🙂