IP Address Kya hai? Aur ye Kaise kaam karta hai

IP Address kya hai Puri Jankari

Internet ek tarah se bahot badi Duniya hai, aur Internet ki Popularity bahot tezi se badhti jaa rahi hai. Internet ne hum sabki bahot si paresahniyon ka solution diya hai, aur humne Internet se bahot saari chizon ki jankari bhi li hai.

Internet ki Help se hum Video call, Chat aur Voice call bhi kar sakte hain, aur Social Media Sites Jaise Facebook, Instagram, aur Twitter par New Friends bhi banate hain, aur ye sab kuch Internet ki hi wajah se Possible hopaya hai.

Jab hum Internet ki Help se Ek jagah se Dusari Jagah koi information ya Data Share karte hain, tab hum Internet ke Bahot saare Tools ki wajh se ye sab kam kar paate hain, aur in tools me se ek sabse important tool hai IP Address, Jiske baare me aj hum apko kuch basic jankari dene jaa rahe hain.

ip address in hindi

IP Address kya hai? 

Sabe pehle IP Address ka Full Form hai, Internet Protocol Address. Ye ek terah se identity number hota hai. Internet Protocol (IP) ko Internet Address ke naam se bhi jana jata hai, aur Ye ek Tarah ki Method hoti hai, jisme Internet par Data ek Device se Dushre Device par bheja jata hai.

Network se jude jitne bhi Devices hote hain, unka Apna ek IP Address hota hai. Agar apke Computer ya koi bhi aur Device me agar IP Address nahi hoga to, ap kisi bhi Device se Communication nahi kar paaynge.

Also Read: VPN kya hai? Iska Use kaise kare

IP Address ek tarah ka Address hota hai, jaisa ki huaare ghar ka address hota hai, usi tarah se IP Address ki Help se Kisi bhi Device ko aasani se Identify kiya jaa sakta hai.

IP Address Kitene Type ke Hote hain?

Agar apko IP Address ke baare me Thodi bahot Jankari hogi, to sayad apko ye bhi pata hoga ki, IP Address bahot Types ke hote hain, aur agar apko nahi pata to koi baat nahi, hum apko batate hain.

  • Private IP Address
  • Public IP Address
  • Static IP Address
  • Dynamic IP Address

IP Address ka Format kaisa hota hai?

Agar hum baat kare IP Address ke Format ki to, IP Address hamesha 4 ya 6 Blocks wale Number ko mila kar banta hai. Example ke liye IP Address kuch Ish terah ka hota hai, 192.168.6.18 ye Number ko he hum IP Address bolte hain.

Apna IP Address kaise Pata kare? how to find IP Address

Agar apko apne IP Address ka pata lagana hai, to apko apne Device ke about me jaakar Jankari leni padgegi, aur sayad ye Method apko acche se samajh na aye to uske liye humare pass ek sabse Easy Method hai jiski Help se ap apna IP Address jaan sakte hai.

my ip address

IP Address pata karne ke liye apko, apne Mobile, ya Computer me Browser open karna hoga aur ussme Google Open karke What is My IP Search karna hoga, aur jaise hi ap aisa karnge apko apna IP Address apki Screen me Dikh jayega.

Dear Friends Ab sayad apko pata chal gya hoga ki IP Address kya hai, aur Hum kaise apna IP Address pata laga sakte hain. To agar apko Ish Artical me Kuch samjh nahi aaya ho ya koi problem aarhi ho to ap humnse niche Diye gye comment box me puch sakte hain, hum apki help karne ki puri kosis karnge. 

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.

Leave a Comment