VPN kya hota hai? Kyse iski help se koi bhi website open kar skte hai

VPN kya hota hai? Isko kyse Use karte hai Hindi Me

Hello Friends, to aj hum janenge ki VPN kya hota hai? Aur ye Kyse kaam karta hai. Jysa ki ap jaante he honge ki ajkal internet me aysi bahot si websites hai joki bahot se countries me hai lakin ap unko open nahi kar paate hai quki wo apki country me block ki hui hoti hai. Toh ap un websites ko use kar sakte hai to iske liye ap VPN use kar sakte hai, aur koi bhi website jo open kar sakte hai. Aur sab se Important baat ki ajkl hum Apne Android Smartphone ya Computer mein Aysi bahot saari websites ko open karte hai aur waha par apni personal details share kar dete hai, jo ki koi apki di hui personal details ka galat istemaal bhi karskta hai, aur apko bahot nuksaan ho skta hai aysa hone se, quki isse apko koi blackmail wagera bhi kar skta hai.

Duniya me ayse bahot se log hai jinko ki hum Hackers bolte hai, wo isi baat ke inte zaar me rahte hai ki kab ap apni personal details enter kare aur wo apki details le kar unka galat istemaal kar sake apko blackmail karke apse paise ki bhi maang kar sakte hai, to insb se kyse bacha jaye, isi liye humne aj ye topic VPN kya hota hai par artical likne ka socha hai. To aaiye VPN kya hota hai iske baare me kuch Detail me jaante hai.

vpn kya hota hai

VPN ka Full form hai Virtual Private Network aur ye ek tarah ki network techonology hai jo ki apko protect karta hai. jyse ki example ke liye jyse ap apne Wi-Fi me password daal kar usse procted bnate hai usi tarh se VPN ek bahot acha aur badhiya tarika hai jisse ap apni private information ko protect kar saakte hai aur duniya ki koi bhi websites ko opne kar sakte hai wo bhi bina kisi nuksaan ke. VPN ka istemaal Govt instutions, orginations, aur Educational organisations karte hai apne Users ke data ko protect karne ke liye, usi tarh se ap bhi iska use kar sakte hai apne data ko safe rahne aur duniya ki koi bhi website ko open karne ke liye. Ap VPN Service Ka use apne Computer ya Smartphone par VPN ki Application ko install karke kar sakte hai.

VPN Use kyse hota hai ya ye kaam kyse karta hai?

Iske liye hum apko bta de ki VPN ka sabse important kaam ye hota hai ki apke internet connection ko private rakhna matlb ap Internet par jo bhi kaam kar rahe hai usko Safe rakhna. iska fayda ye hota hai ki internet par jo bhi restrictions hote hai jysa ki ap kuch websites open karte hai aur wo apni country me block hone ki wajh se open nahi hoti hai, toh hum VPN ki help se apna ye kaam aasan karskte hai aur wo sabhi websites open kar skte hai jinko ki hum open karna chahte hai.



VPN kyse Kaam Karta hai?

Jab hum apne Computer ya Smartphone mein VPN ko activate kar dete hai. tab VPN ek Local network ki tarh kaak karta hai aur jaab bhi hum koi website open karte hai joki humare country me block hoti hai hunko block hone se bachata hai aur Open ho jata hai. Jab ap aysi kisi websites ko open karte hai jo ki India me block hai tab VPN ek request send karta hai jaha ush website ka server hota hai phir ush server se activate hone ke baad apko ush website ki puri information open hojati hai. Aur iski help se ap apni countrry me baithe-baithe dushri kisi bhi country ki website ko chala sakte hai, wo bhi bina kisi pareshaani aur bina apna koi personal data enter karke.

For Example:

Apne Netflix ke baare me suna hoga agar ap nahi jaante to ye ek website hai jisme ap koi bhi videos and movies dekh sakte hai jysa ki India me Hotstar hai, to ab to Netflix India me active hogya hai lakin pahle ye active nahi tha, to tab hum agar VPN ka USE karte to hum Netflix ka Use aasani se karskte the. Internet par aysa bahot se Applications aur Softwares jiko ap apne Smartphone ya Computer me install kar sakte hai. VPN ke bahot se paid aur free version wale software hai inko ap apne use ke hisaab se le sakte hai.

Smartphone aur Computer ke liye sabse acha VPN konsa hai? 

For Smartphones

VPN in hindi

Agar Hum baat kare Smartphone ki to Smartphone ke liye sabse acha VPN Hai Touch VPN -Free Unlimited VPN Proxy & WiFi Privacy ap Uperr digai Image par bhi dek sakte hai usko ap direct apne Smartphone par Google Play Store me jakar install kar sakte hai aur install kar ke iska faayda le sakte hai.

For Computers

vpn hindi 1

Agar Hum Baat kare Computer ki to Computer ke liye sab se acha VPN hai Tunnel bear, ap uper diagi image me dekh sakte hai ki ye kosa VPN hai, ye VPN bahot acha hai aur bahot kaam ka bhi hai, isi tarh se apko Computer me to google par apko ayse bahot se paid aur free VPN’s mil jyenge.

Toh Dear reader sayad ap apko samjh aagya hoga ki VPN kya hota hai, agar abhi apko koi problem ho ya apko kuch samjh nahi aaya ho ish post me to ap humse niche diye gye comment box me apna question puch sakte hai. ish post ko apne friends aur relatives ke sath bhi jarur Share kare taki wo bhi VPN kya hota hai jaan sake aur iska Use kar sake. ish post karne ke liye apka dhanyabaad 🙂

Ayse Articals ke liye Hindimeinfo ko Follow kare Facebook, Twitter Join kre Facebook Group aur Subscribe kare YouTube Channel.

5 thoughts on “VPN kya hota hai? Kyse iski help se koi bhi website open kar skte hai”

  1. Great Article sir Aapne Hindi me Vpn kya hai Aur kaise use kare, ke baare me Bahut he Easily btaya Thanks for informative information keep writing And aap se he hum sabhi ko motivation milta hai sir so thanks for all

    Reply

Leave a Comment