Table of Contents
- Website kaise banaye WordPress me? Bina technical knowledge aur experience ke
- WordPress kya hai?
- About Magazina WordPress Theme
- Share this:
- Related
Website kaise banaye WordPress me? Bina technical knowledge aur experience ke
Hello dear reader, Aj kal ka time aysa hai ki har koi apni khud ki pehchan banana chahta hai, aur ayse me ajkal YouTube aur website ka bahot trend chal raha hai, jisse bahot se log apni pehchan bana rahe hai, koi YouTube par vlog bana raha hai, to koi website par Blog likh raha hai. Hum sabhi ki choises alag-alag hoti hai. Hum me se bahot se log ko blog likhna pasand hota hai ya hum b chate hai ki humari bhi koi website ho jime hum apni pasand ki chize puri duniya se share kar sakte hai, apne telent ko duniya ko dikhane ke liye website aur YouTube ek bahot ache platforms hai.
Aj hum baat karne wale hai ki Website kaise banaye wordpress me, kya-kya chize chaiye apko ek WordPress website ke liye, aur aaj hum apko ye bhi batynge ki konsi Hosting, aur Thems ap use kar sakte hai, apne wordpress website ke liye.
WordPress kya hai?
WordPress ek open source website making tool hai, aur ye bahot esay to use tool hai, jisme ap bina kisi technical knowledge ke apni website bana sakte hai, Agar apko iski puri jankari chaiye toh wo apko yaha se mil jayegi. WordPress ki Jankari Hindi me
WordPress me website banane ke liye kya-kya chize chaiye?
Agar apko WordPress me website banani hai to uske liye apko sabse pehle apne blog ya site ke liye ek domain name lena hoga, Domain lene ke baad apko apni site ke liye ek web hosting leni hogi, market me bahot saari companys hai jo Hosting provide kar sakte hai, HindiMeInfo ne MilesWeb se hosting aur Godaddy se domain name liya hai.
Domain kya hai?
Doamin ek tarh se apke name ke jysa hai, jysa ki ap apne name se pehchane jaate hai, usi tarh se ek website apne name se pehchani jani jati hai. Apko koi bhi ek name sochna hoga apne blog ya website ke liye, jyse humne humari site ka name hindimeinfo rakha hai. ab apne pasand ka koi bhi name le sakte hai.
Agar apko apni Website banwani hai toh ap Hindimeinfo ke sath apni website banwa sakte hai, aur information ke liye niche digai Link me click kare.
[su_button url=”https://hindimeinfo.com/website-banwaye/” target=”blank” style=”stroked” size=”5″]Website Banwaye[/su_button]
Hosting kya hai?
Hosting ek tarh se, jyse apke smartphone me Storage hota hai, apke files ke liye, wyse he Hosting me apke website ka pura Data save hota hai,ap jo bhi chize apni website me daalte hai, wo Hosting me save hota hai, aur jaha se apni puri website chalti hai usko hum hosting bolte hai.
Install WordPress
Jab ap apna domain aur hosting le len tab apko karna hoga apni website ko WordPress me install, WordPress ka pura setup ap niche digai link se le sakte hai.
[su_button url=”https://www.hindimehelp.com/wordpress-par-website-kaise-banaye/” target=”blank” style=”stroked” size=”5″]Full WordPress setup in Hindi [/su_button]
WordPress Themes
WordPress Theme ek tarh ka files ka collection hota hai jo ek sath kam kar ke, apko ek achi design aur weblog show karta hai. In Files ko hum Template files bolte hai. Theme ek tarh se files ka collection hota hai jisme apko ek website ki design dikhti hai.
WordPress install hone ke baad ab kyse apni site start kare aur blog likhna start kare.
Jab apko pura setup hojaye WordPress me, uske baad apko apni WordPress website ya blog ke liye ek achi si Theme ki jarurat hogi, wyse to bahot se aysi Free thems apko online mil janyngi jisme ap apna blog likhana start kar sakte hai, lakin agar apko ek achi blog ya news ki website banani ho toh ap Magazina blog aur news theme ka use kar sakte hai, HindimeInfo bhi Magazina Theme par chalti hai, aur agar apko advance features chaiye toh ap Magazina ka Pro version bhi le sakte hai. Hindimeinfo bhi Magazina theme par chalti hai, aur humne kabhi koi pareshani nahi hui ye theme se. Aaiye jante hai Magazina Theme ke bare me.
About Magazina WordPress Theme
Magazina ek bahot achi news aur media wordpress theme hai, jisko apne blog ya website ke liye use kar sakte hai. Magazina Theme bahot saare ache-ache features ke sath aati hai aur isme bahot sare custom features diye gye hai. Magazina WordPress theme me apko Drag & Drop wale features bhi milnge.
Magazina Theme ko ap apne Blog ya personal website ke liye use kar sakte hai. Magazina Theme me apko bahot se features mil jynge jo apko apne blog ya website ke liye chaiye honge. Magazina Theme Free aur Pro dono versions me aati hai, agar apko iska demo lena ho toh ap eske free verssion ko WordPress se Install karke Use kar sakte hai, baad me agar apko acha laga to ap iska Pro version bhi le sakte hai.
Magazina Theme ke Kuch Ache Features
- Unique Post Option
- Sticky Sidebar
- Post-Read Time
- Typography
- Theme Color Option
- Header Layout
- Ad Widget
- News Ticker
- etc.
In Sab Features ke alwa aur bhi bahot saare features Magazina Theme me miljynge, agar apko ye theme ko download karna hai, toh ap isko WordPress se download kar sakte hai, nahi to ap yaha se bhi download kar sakte hai.
[su_button url=”https://downloads.wordpress.org/theme/magazina.zip” target=”blank” style=”stroked” size=”5″]Download Magazina Theme[/su_button]
Sayad ye post Website kaise banaye WordPress me apke liye helpful rahi hogi, agar apko koi chiz samjh nahi aai ho, ya phir apka koi question ho toh ap humse comment box me puch sakte hai, ya ap apna suggestion bhi niche comment box me de sakte hai.
Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.
Free web hosting ke liye kaun si website sahi hai? kyaa free web hosting ke sath hum free me website bana skte hai?
Hello Aman,
Free Web hosting me apko ek subdomain sath me milega, jyse ki Yoursite@wordpress.com
agar apko Free website banana hai toh ap WordPress ya blogger ka use kar sakte hai.
Ek Web Hosting Provider hai jo Hosting ke sath Domain free dete hai uski jankari apko yaha se mil jyegi https://hindimeinfo.com/milesweb-hosting-sabse-achi-web-hosting-apki-site-ya-startups-ke-liye/
Agar aur kuch apko puchna hai toh ap puch sakte hai
Hello Bor mujhe ye samajh nahi aa raha hai ki wordpress.com and wordpress.org dono me kya difference hai. or konsa plateform choose kare site banane ke liye? Pls. reply
Hello, Rakesh ji
wordpress.org vah jagah hai jahaan aapko free WordPress Softwares milega jise aap apane web server par download aur install kar sakate hain.
Wordpress.com aapke lie sabhee hosting ka khyaal rakhata hai. aapko Software download karane, host karane ke lie pay karane ya web server manage karane kee jarurat nahin hai.
Thanks 🙂
Super ?