Shared Hosting Kya hai? Aur iske Fayde aur Nuksan kya hai

Shared Hosting Kya hai? Puri Jankari hindi me

Jab maine apna Blogging Career start kia tha tab mai Blogger par blogging kia karta tha, aur Web hosting aur dushri chize mere liye bilul he alag aur naye the. JAb bhi hum apni website banate hai, hume 2 chizo ki sabse jada jarurat hoti hai, aur wo hote hai, ek to Domain aur dushera Web Hosting, in dono ke hone ke baad he hum apni website internet par ache se chala sakte hai, bina kisi pareshani ke.

Jysa ki ap agar ap ek blogger honge ya apko thoda sa bhi Hosting ke baare me knowledge hoga toh apko pata hoga ki, Jab bhi hum koi website banate hai, toh usko internet par online rakhne ke liye Data ko online save rakhna padta hai jaha se humari website chalti hai aur Active rehti hai.

Milesweb Sabse achi Web hosting ke baare me jaane

Shared Hosting Kya hai?

 

shared hosting iamge

Jysa ki apko Name se samjh aaraha hoga ki Shared Hosting Kya hai, toh friend Shared Hosting wo hosting hoti hai jime ki Server me aur bhi bahot saari websites rehti hai. Shared Hosting me ek he server hota hai, jaha bahot saari Files ek sath hoti hai, isliye ish web hosting ka naam Shared Hosting hai. Shared Hosting jada tar Bloggers aur Small business owners use karte hai, isme kam budget me jaldi se website open hojati hai.

Shared Hosting ka matlb hai ki sabhi websites ka ek he I.P Address hoga, aur ap Resources ko server par Share kar rahe honge. Shared Hosting sabse sasti web hosting hoti hai. Shared Hosting mee apko Limited resources jaise, Limited Storage, Limited bandwidth, aur bhi sabhi chize jo ek web hosting me apko milti hai, wo sab Shared Hosting mee limited hoti hai.

Shared Hosting Kaise kam karti hai?

 

shared hosting

Shared Hosting ek terh se bahot saare accounts ko ek he server par rakhti hai. agar hum aur easy way me bole toh, Shared Hosting ek terh se jaise hum kabhi koi Ghar Rent par lete hai, aur apne Friends ke sath waha rehte hai, aur waha humara alag Room hota hai, bed hota hai, Humare liye pani hota hai, aur hum sabhi wo sab Share karte hai, isi tarah se Shared Hosting bhi kam karti hai.

Important Links

Shared Hosting ke Advantages aur Disadvantages

Shared Hosting ke Advantages (Fayde)

  • Ye sabse sasti web hosting service hai, aur aasani se mil jati hai.
  • Bahot saari companies hai jo Hosting provide karati hai, aur ap jab chahte hai, tab apke Hosting Plan ko badha deti hai.
  • Shared Hosting me pehle se cPanle aata hai, jaha se ap apni Web Hosting ko manage kar sakte hai.
  • Apko koi Techincal maintenance ki jarurat nahi hoti hai, apko ye sab apke Hosting package ke sath mil jaata hai.

Shared Hosting ke Disadvantages (Nuksan)

  • Shared Hosting se website ki Page Loading Speed kam rehti hai.
  • Kabhi-kabhi Jada Load ki wajh se website down hojati hai.
  • Jab apki Website me jada Traffic aane lagta hai, tab apki website ki performance bahot kam hojati hai.
  • Apko pata nahi hota ki kon-kon se log apke Server par apni site chala rahe hai, aur ye Site ke liye acha nahi hota hai.

Ab Sayad apko ek idea hogya hoga ki Shared Hosting Kya hai, aur ye kaise kam karti hai, aur iske kya-kya Fayde aur Nuksan hai. hume umeed hai ki apko ye artical acha laga hoga aur apko samajh aagya hoga ki Shared Hosting Kya hai.

Agar apko ye Jankari achi lagi ho toh ap ise apne Friends aur family ke sath bhi Share kare aur unko bhi Shared Hosting ke baare me batye. agar apko Shared Hosting Kya hai, me aur koi question ho ya phir ap humse kuch puchna chahte hon, toh ap humse niche diye gye comment box me bata sakte hai.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



2 thoughts on “Shared Hosting Kya hai? Aur iske Fayde aur Nuksan kya hai”

Leave a Comment