Mobile se YouTube Video kaise Download kare Puri Jankari Hindi me

Mobile se YouTube Video Download Karne ki Jankari

Ajal Humne TV Dekhna bahot kam kar diya hai, Quki Jab se India me Internet ki demand badhi hai, hum TV se jada YouTube Dekhna pasand karte hai, aur iske piche Jio ka hath hai, ki kaise Jio ke aane ke baad India me Internet chalane wale logon bahot hogye hai. Ayse me jab hum YouTube par Videos dekhte hai, toh kuch Videos humne bahot ache lagte hai, aur bahot se Videos ko hum Like aur Share bhi karte hai. Lakin Kai bar hume bahot se Videos ache toh lagte hai, par hum unko download bhi karna chahte hai, jaise kai bar humko jab koi Song acha lagta hai, toh hum sochte hai ki isko download karlen lakin hum Video ko sirf Offline kar paate hai, Download nahi toh ayse me aj hum apko ek sabse acha tarika batane wale hai jisse ap YouTube ke Videos ko aasani se Download kar sakte hai, toh chaliye Suru karte hai.

YouTube se Related Important Links

Mobile se YouTube Video kaise Download kare

Mobile se YouTube Video download karne ka sabse aasan Tarika, aaiye jante hai Step By Step




Step 1:

Screenshot 20181122 170401 YouTube

Sabse Pehle ap Apne Smartphone me YouTube ki App ko Open kare, App ko open karne ke baad Apna jo video ko download karna chhate hai usko search kare aur open kare

Step 2:

Screenshot 20181122 170248 YouTubejpg

Jab ap apna Video Open karlen, jisko ki ap download karna chhate hai, uske baad apko Jaha par SHARE likha hua hai, waha par click kare, aur jaise he ap SHARE me click karnge, uske baad apko kuch aysa show hoga, jaisa apko upper digai image me show ho raha hai.

Step 3: 

Screenshot 20181122 170408 YouTube

Jaise he ap Share me click karnge, uske baad apko jo option dikhnge, wha par ek option hoga jaha par likha hoga, Copy Link, toh apko ush Copy Link me click karna hai.

Step 4: 

Screenshot 20181122 170501 Chrome

Link Copy hone ke baad apko, Chrome Browser open karna hai, Aur wha par apko Google me en.savefrom.net ki website open karni hai.

Step 5:

Screenshot 20181122 170530 Chrome

Jab ap ye website open karlen, uske baad apko website me sabse uper ek Search wala option show hoga, jaha par likha hoga Enter The URL apko waha par link ko paste karna hai, Link ko past karne ke liye apko jaha par Enter The URL likha hai, waha par der tak press karke rakha hai, uske baad apko kuch aysa show hoga, jysa ki apko upper digai image me show horha hai.




Step 6:

Screenshot 20181122 170557 Chrome

Jaise he ap link ko paste kar denge uske baad apko, apka video open hoga, aur Video ke niche apko Download ka option show hoga, ap download me click karke video ko download kar sakte hai. Ap jaha par download likha hai, uske bagal me click karke ap apne hisab se jish Quality me video ko download karna chahte hai, ush Quality me download kar sakte hai.

Toh ayse ap Mobile se YouTube Video download kar sakte hai, aur ap apko samjh me aagya hoga ki Mobile se YouTube Video kaise download karte hai, aur wo bhi itna jaldi, bina kisi pareshani ke.

agar apko ish article me kuch samajh nahi aaya ho, ya ap kuch puchna chhate ho, toh ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hai. aur ish Article ko apne Friends aur Family ke sath bhi share kare.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



1 thought on “Mobile se YouTube Video kaise Download kare Puri Jankari Hindi me”

Leave a Comment