Rail Connect App se Ticket kaise book kare janiye puri jankari

IRCTC ki Rail Connect app se Ticket Book karne ki Puri Jankari

India me bahot saare log roj Train me Travel karte hai, Ek city se dushri city toh ek place se dushre place me, India ek bahot bada Railway network wala Desh hai jaha Roj 2 Crore se bhi jada log Travel karte hai. Train me Travel karne ke liye apko Train me reservation karna hota hai, aur uske liye apko pehle se Train ki Tickets book karni hoti hai.

Yaha par bahot saare Railways Ticket Counter hai, jaha se ap Train ki Ticket book kar sakte hai, lakin waha apko bahot jada wait karna pad sakta hai, aur apko Lmbi Line me khade hokar Ticket leni padti hai. Toh Q na hum ghar baithe-baithe Online Internet se apni Train ki Ticket ko book kare.

Note: Ap ek Din me 2 Ticket aur jada se jadda 6 Ticket ek Month me book kar sakte hai.

Rail Connect app se Ticket kaise book kare

1. Sabse Pehle apko Apne Smartphone me IRCTC Connect App ko Download karna hoga, Play Store se

2. Ab jab apki app open hojye tab apko ek page show hoga waha logn karne ko kahega, agar apke pass Login Id aur Password hai, toh thik hai nai toh ap pehle Apna Account bna lijiye phir login kariye, Ap jaha par Register likha hai waha par click karke Register kar sakte hai.

rail connect app 2

3. Ab login hone ke baad apko ek Pin banaa hoga, aur 4-Digit ka Pin enter karna hoga, aur Submit karna hoga.




4. Ap apke saamne ek page open hoga waha se Ap jaha jana chhate ho aur jaha se jaana chhate hai, waha ke Station ko select kariye, aur sath he apko kab jana hai, uski date bhi select kare.

rail connect app 3

 

5. Ab apko Train ki List show hogi, aur ap apni pasand aur Seat ke hisab se ticket book kar sakte hai, jo train apko achi lage usme ap Book Now m click karke Ticket book kar sakte hai.




6. Ab Jaise he ap apni train select karle, toh ab apko Add Passenger me click karke apki Details fill karni hogi, apko apka name aur age enter karni hogi, iske baad apna Gender, aur Berth Preference ko select kariye, aur Done kar dijiye.

rail connect app 5

7. Jaise he ap Done me Click karnge waise he apko wo Payment walee page me le jayega. ab waha par apko apki payment method select karke payment karni hogi. Ap Credit card, Debit card, Net Banking aur Wallet se Online Payment kar sakte hai.

8. Jaise he apki Payment confirm hojyegi, waise he apki Ticket book hojyegi.

IRCTC ki Website se Kaise Ticket Book kare?

Apne ye toh shikh liye ki Rail Connect App se kaise Ticket Book karte hai, chaliye ab jante hai ki IRCTC ki Website se kaise Ticket book kare toh chlaiye suru karte hai.




1. Sabse Pehle ap IRCTC ki Website www.irctc.co.in me Jaye.

irctc website 2

2. Ab apke screen me Page Open hoga phir waha par Uper me Log in ka option de raha hoga. waha se Login kare apni ID aur Password se.

irctc website 8




3. log in hone ke baad ek page open hoga waha se Apko jaha jana hai aur jaha se jana hai, waha ke staion fill kare aur Date fill kare fir Find Train me click kare.

irctc website 3

4. Ab apke samne Page open hoga waha par apko Trains show hogi, waha se apni pasand ki Train Select kare phir, Check availability & Fare me click kare.

irctc website 6

5. Ab Book now me click kare, uske baad booking me click kare.

irctc website 1

6. Ab apke saamne new page open hoga, waha par apni Puri Detail fill kare, Apka Name, Age, Gender, Birth Preference, Agar apko aur bhi Pessenger ko add karna ho toh +Add Passenger me click kare, aur unki detail fill kare.

7. Ab sab details fill karne ke baad Continue Booking me click kare kare aur Payment kare.

8. Payment successfull hone ke baad apka reservation hojyega aur apke mobile me message aajyega, aur ab E-ticket ko print bhi kar sakte hai.

Toh Ab apko pata chal gya hoga ki Rail Connect app aur IRCTC ki website se ap kaise Ticket book kar sakte hai, agar apko koi pareshani aa rahi ho, ya phir kuch samjh nahi araha ho toh ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hai.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



Leave a Comment