Whatsapp Group Kaise Banaye? Aur Logo ko add kaise kare

Whatsapp Group Banane ki Puri Jankari

Hello Friends, Jysa ki ap jaante honge ki ajki date me Social meda ki humari life me kitna importance hai, aur hum bina social media ke apni life ko imagine bhi nahi kar paate hain. Agar ap Internet ka Use karte hain, to ap whatsapp bhi jarur chalate honge, aur apne Whatsapp me bahot saare group bhi join kiye honge, ya apko kisi ne join karaya hoga, lakin kya apka khud ka koi Whatsapp group hai? jaha ki ap apne friends aur family ko add karke unke sath baate share kar sako, to agar apko bhi whatsapp group banana hai, aur apko samajh nahi aaraha hai ki Group kaise banaye to, aj hum apko batane wale hai, ki ap kaise Whatsapp group bana sakte hain.

Group banane ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.

Step 1: Sabse Pehle ap apne mobile me apna Whatsapp open kare, aur jaha pat 3 dot show ho rahe ho, jysa ki apko niche digai image me show ho raha hoga, waha par click karen.

whatsapp1

Step 2: Jaise he ap waha par click karnge apke saamne ek pop up open hoga, usme se jaha par New Group likha hai, waha par click karna hai.

whatsapp2

Step 3: Ab jaise he ap New Group me click karnge, to apko waha par Members ko add karne ka option milega, yaha se apko jinko group me add karna hai, unko select kar len, phir niche green wali button me click kar dijiye.

whatsapp4

Step 4: Ab apke saamne ke new window open hoga waha par apko, apke Group ki information jaise ki Group ka name aur Group ka icon select karna hoga, aur Green wali button me click karna hoga.

whatsapp5

Ab apka Whatsapp group bana jayega, aur ab ap apne group members ke sath chatting kar sakte hain, aur information bhi Share kar sakte hain.

Related:

Group me aur Logo ko kaise add kare?

Group banane ke baad agar ap chhate hai, ki ap aur logo ko apne group me add karna chhate hain, to uske liye niche diye gaye Steps ko follow kare.

Step 1: Sabse pehle Whatsapp me apna Group open karke, jaha par 3 Dots show ho rahe ho, waha click karke apko Group info me clcik karna hai, jaisa ki apko niche digai image me show ho raha hoga.

whatsapp7

Step 2: Ab apke saamne ek new window open hogi waha par, jaha par apke Group ka name likha hoga uske pass Members add karne ka ek option milega, jysa ki apko niche digai image me show ho raha hai, whaa click karke ap new members ko add kar sakte hain.

whatsapp8 copy

To ab apko samajh aagya hoga ki, Whatsapp group kaise banate hai, aur usme logo ko kaise add karte hain, agar apko group banane me koi problem aarahi ho, ya phir apko koi baad ho jo samajh me nahi aarahi ho to, ap humse niche diye gaye comment box me puch sakte hain, hum apki help karne ki poori kosis karenge.

Aysi Posts ke liye HindiMeInfo ko Follow kare Facebook, Twitter, Join FB Group uar Subscribe kare YouTube Channel ko

1 thought on “Whatsapp Group Kaise Banaye? Aur Logo ko add kaise kare”

Leave a Comment