Table of Contents
Gutenberg Kya hai Janiye iske baare me
Apne
Gutenberg Kya hai?
Ye ek tarh ka Visual Editor hai, jisme ap apni Post ye Page ko aur bhi acha apne hisab se Design kar sakte hai. Ye WordPress ka ek new Post/Page Editor Tool hai.
Hindimeinfo
Gutenberg ek naya feature hai WordPress ka
WordPress #1 CMS hai, Jisme ki 29% se jada Websites Design ki gai hai, Hindimeinfo bhi, WordPress par bani hui hai. WordPress me ye new Start hai. jise ki WordPress aur bhi jada Popular ho jyega. Gutenberg se abhi ap post aur pages ko design kar sakte hai, phir baad me ap esse Puri Website bhi Design kar sakte hai. Aysa nahi hai ki Gutenberg Pehla aysa Visual Editor hai, Ayse aur bhi Editors pehle se hai jinme ki same kam hota hai, joki Gutenberg me hoga. Kuch Popular Editors jyse ki Divi, Elementor, Beaver Builder, Visual Composer etc. Gutenberg ke aane ke baad ye sabhi Editors ka bahot competation hojyega.
Kya New hai Gutenberg Editor me
Gutenberg WordPress ka new Default editor hai, Jisme sabse bada change jo hua hai, wo ye ki esme Blocks ko laya gya hai, Purane Editor ki Jagh me. New Editor me Post/Page ka Title aur Photos add karne ka option Blocks me hoga, ap alg-alg blocks Me sabhi chize add kar sakte hai. Apko Block ko select karna hai, jyse ki apko Title likhna hai toh apko Title wale Block par click karna hoga. Apko ek + ka Sign show hoga usme click karke ap new Block ko insert kar sakte hai, example ke liye niche diye gye image me dekhe.
Jab ap pehli bar ye editor ka use karnge toh apko ye thoda dificult lagega, lakin use karte-karte apko ye samjh me aane lagega, aur phir apko esko Use karne me mja aane lagega. WordPress ki Developer team bahot dino se Gutenberg Editor par kam kar rahi hai, aur Wo isko jitna acha bana sakte hai, utna acha banane ki kosis kar rahe hai. Gutenberg abhi bhi Development me hai, aur abhi eski Plugin aai hai, WordPress ke Founder ne kaha hai, ki jb tak ye WordPress me update aaega tab tak sayad iske 100,000 tak downloads ho jaynge. Aur esse ye bhi pata chaega ki kya eska use ho paa raha hai ya nahi. Abhi tak toh jabse eski Plugin aai hai, tabse eska use bhi kia ja raha hai, Hum bhi iska use kar rahe hai.
Gutenberg ko kyse Install kare?
Jab hum ye article
Ap Gutenberg ka latest version WordPress ki site
Gutenberg ko install karne ke baad, jab ap new post edit karnge toh apko new Gutenberg ka editor show hoga, na ki wordpress ka old Visual Editor. Apka Default wordpress editor ab Gutenberg editor he hojyega.
Also Read:
- Wodpress me Comment ko kyse Disable kare
- WordPress me Post reading Time kyse add kare
Gutenberg ko Install karne ke baad ap iska use kar sakte hai. ap issse apni post/pages ko edit kar sakte hai. WordPress me ye new feature aane se aur bhi acha experiance hojyega. Agar ap ek blogger hai toh apko pata hoga ki ek WordPress Site chalane ke liye kya-kya karna padta hai, aur kon-kon si chize use karni hoti hai. Apko ye Editor ko ek bar try jarur karna chaiye, apko ye bahot acha lagega.
Ye tha artical Gutenberg kya hai. ab sayd apko samajh aagya hoga ki Gutenberg aakhir hai kya, aur iska wordpress me kya use hai. Agar kuch puchna ho ish post se related ya phir apka koi question ho toh wo ap humse puch sakte hai, aur kya ap bhi Gutenberg use karte hai, agar han toh kya acha laga apko isme, hume jarur bataye niche diye gye comment box me.
Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.