eSIM kya hai? aur ye kaise kaam karta hai

Janiye eSIM kya hai aur kaise kam karta hai

Hello Dear Reader, jysa ki ap jante hai ki duniya kitni tezi se aage badh rahi hai aur ayse me roj new-new inovations bhi duniya me ho rahi hai, aysa he ek inovation hua hai eSIM ka jo ki Apple ke new smartphones me diya gya hai. to aaiye jante hai eSIM ke baare me detail me ki eSIM kya hai?

eSIM/UICC: (Embedded SIM or Embedded UICC) Ye ek new terh ki techonology hai, jisme ki apki jo physical SIM card apke Smartphone me digai hai, uske liye eSIM ek bahot bada replacement hai. Ab apko apke mobile me Physical SIM Card ko lagane ki koi jarurat nahi hai ab eSIM wahi kam karega jo apka purana SIM card karta tha, bus fark ye hai ki ab apko apne mobile me SIM card lagane ki jarurat nahi hai.




eSIM ek tarh ki Small chip hoti hai apke smartphone me, joki ek NFC Chip ke jyse apke phone ke andar kam karta hai. eSIM koi help se ap apne mobile me jis bhi company ki SIM ko use karna chahte hai usko ap apne mobile me use kar sakte hai. eSIM remotly kam karta hai jisse ki apko kabhi koi dikat nahi aayegi isko use karne me.

Jysa ki apki regular SIM card ko phone se remove ya change kia ja sakta hai, lakin eSIM ko ek bar phone me lagaane ke baad remove nahi kia jaa sakta hai. SIM ka Size kam hota jaa raha hai, aur ab to isko smartphone se bhi gaayab kaar diya gya hai. lakin eSIM bhi ek new techonology hai joki aane wale time me bahot helpful hone wali hai, aur iska fayda hum sabhi ko milega.

esim img

SIM ko qu itna Small kia jaa raha hai?

Jysa ki ye question hum sab ke dimag me aata hai ki aakhir qu SIM card ka size kam kia jaa raha hai, aur ab toh isko puri terah se gaayab he kia jaa raha hai, toh apko bata de ki jyse-jyse time aage badh raha hai usi terh se smartphones me bhi bahot se changes ho rahe hai. jyse ki smartphone ko aur bhi Slim kia jaa raha hai, aur Phone ko Slim karne ke liye bhi eSIM ka use kia jaa raha hai.

eSIM Kaise kam karti hai?

Normal SIM card me ek chip hoti hai jisme apke network ka subscription Data hota hai, aur kuch space hota hai, Contacts save karne ke liye. wahi eSIM me wo chip direct apke phone ke Circuit board me laga di jaiyegi, aur jo Apka Subscription data hai kisi bhi network ka usko ap store kar sakte hai. Ye ek aysi techonology hai jo nano SIM ke mukaable aur bhi jada small hoti hai, iske alawa ap iski help se, Smartphone koi SIM Tray ko puri terh se hata sakte hai. Aane wale time me kuch aysa he hone wala hai, jysa humne dekha hai ki time ke sath-sath Headphone jack ko bhi smartphone se hataya ja raha hai, joki apne Apple ki kuch new smartphones me dekha hoga.

Abhi toh ye Internet Techonology ko Apple ne Pehli bar laaya hai, jaldi he ise aur bhi companys bhi follow karne wali hai. Space ke alawa eSIM user ko aasaani se Network ke beech switch karne ki permission deta hai. Apko aysa lagega he nahi ki apke smartphone me SIM hai he nahi.

eSIM

eSIM ke Fayde kya hai?

eSIM ke bahot ye Fayde hai aur Future me ye Technology sabhi Smartphones me aane wali hai.

Ab apko wo Plastic ki SIM ko apne sath rakhne ki jarurat nahi hai.
Ab apke liye Neetwork change karna bahot easy ho jayega.
Apko bar-bar apne SIM card ko Cut nahi karna padega.
Mobile me SIM card ki wajh se kafi space chala jata tha, joki ab bach jayega.
Security ke liye bhi eSIM bahot acha hai
Aage aur bhi bahot chize aane wali hai jise apko eSIM ka aur bhi Fayda milega.




Wyse toh ye ek achi techonology ek bahot achi chiz hai, aur iska benefit bhi humko bahot hone wala hai aage apne wale time me, aur jysa ki apka pata hona chaiye ki jo bhi Techonology aati hai uske fayde ke sath-sath kuch nuksaan bhi hote hai. toh hum sabko in sabhi chizo ke liye tayaar rehna hai, aur sath-sath inka use bhi karna hai.

Toh humare pyaare HindiMeInfo ke Readers kya khyal hai apka ish eSIM ke baare me, ap apko sayad kuch-kuch samajh aagya hoga ki aakhir eSIM kya hai? aur ye kyse kam karta hai, aur iske kya-kya fayde hai. toh kya ap bhi eSIM ka use karna chahenge, aur kya acha lga apko eSIM ke baare me, hume jarur bataye niche diye gye comment box me.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



Leave a Comment