Top 10 Free stock images sites Janiye konsi hai

Top 10 free stock images sites konsi hai jaha se ap free me photos ko download kar sakte hai

Top 10 Free stock images sites- Hello Dear reader, Jysa ki ap jante honge ki Photography humesha se ek bahot acha part raha hai Designs ka. Humne ajtak bahot saari aysi Photos, Stock images dekhi hongi jo ki humko bahot achi lagi aur jinko ki hum apne Website ya phir personal use ki liye use karna chahte honge lakin hum unko buy nahi kar paate hai.

Isiliye Hindimeinfo apke liye kuch aysi websites ki details laaya hai, jaha se ap apni pasand ki images ko free me download kar sakte hai. Humne free stock images sites ki top 10 sites ki ek list banai hai, toh chaliye suru karte hai.

1. Stocksnap.io

stocksnap

Stocksnap.io me apko free high-resolution images download karne ki liye mil jayengi. Ye website bahot easy to use hai aur apko isme images donload karne me koi bhi pareshani nahi aayngi. Yaha par apko hazaaro images jo ap donload karna chahte hai donload kar sakte hai. Ye site apke use aur download ki activity ke hisab se aapko wahi images show karta hai, matlb ki ye apko apki recent choises ke hisab se images show karta hai.

Stocksnap.io me daily bahot saari images upload hoti hai, jinko ki ap download kar sakte hai. aur apko images ka credit bhi nahi dena padega. Agar ap ek blogger hai ya business owner hai toh ap Stocksnap.io ka use kar sakte hai.



2. Pexels.com

pexels

Pexels apko free me bahot achi-achi stock images ko download kar sakte hai, Pexels Creative Commons Zero License ki under me aata hai, joki free stock images provide karta hai apne users ko. Pexels me images ko search karna aur download karna bahot easy hai.

3. Pixbay.com

pixabay

Pixbay ek bahot achi aur HD Quality ki images ko apki choise ke hisab ke resolutions me download karne me help karta hai. Pixbay me apko 500,000 se jada HD images mil jaynge aur joki bilkul free hai. agar ap ek photographer hai aur apni images ko online display karna chahte hai toh ap unko yaha par display karwa sakte hai. Pixbay me apko Photos ke alawa kuch Videos download karne ko bhi mil jaate hai.

4. Unsplash.com

unsplash

Unsplash me apko free high quality ki images download karne ko mil jyngi, yaha par se apko nature se relates photos jada download karne ko milngi, quki yaha par nature se related images jada milti hai. Unsplash ki images ko ap free me copy, download ya upload kar sakte hai, Aur sab kuch bilkul free mein.

5. Reshot.com

reshot free stock photos

Reshot bhi ek bahot achi free stock photos website hai jisme apko bahot saare free stock photos download karne ko mio jaate hai, ap iske home page par search wale section par apni pasand ki photos ko search karke usko download kar sakte hai, ya phir ap category ke hisab se bhi photos ko download kar sakte hai. Reshot me apko aur bhi ache unique photos ko download karne ko mil jaate hai.

6. FreeStocks.Org

freestocks




FreeStocks se ap free me photos ko download karke usko apne personal aur commercial use ke liye use kar sakte hai, aur sath he sath apko FreeStocks par bahot saare photos ka bhi option milta hai. apko phhotos download karne ki direct link, website ke homepage par he mil jaayegi.

7. Picography

picography

Picography free stock images ke collection wali ek bahot achi aur growing website hai, yaha par bhi apko bahot saari free stock images mil jyngi jinko ki ap apne personal use ya phir business use ke liye use kar sakte hai.

8. Foodiesfeed.com

foodies feed

Ajkal Food ki images ki bahot demand ho rahi hai, toh ayse me Foodiesfeed ek aysi website hai, jaha par apko free me food se related aur foods ki photos mil jyngi. jinko ki ap free me use aur download kar sakte hai. agar apko koi online business hai joki food se related hai, toh uske liye apko Foodiesfeed se free me bahot saari stock images download karne ko mil jyngi.

9. PicJumbo

picjumbo




PicJumbo me apko free stock images download karne ko mil jyngi aur sath he sath PicJumbo me apko agar aur achi photos chaiye toh ap iska Premium Membership lekar bhi aur bho photos ko download kar sakte hai, lakin uski jarurat apko nahi padegi Quki PicJumbo me apko free me stock images download karne ko mil jyngi.

10. Life of Pix

life of pix

Life of Pix me apko bahot saari high resolutions ki photos free me download karne ko mil jyngi, Life of Pix me apko bahot saare Photographers ki images aur unki Photos ko download karne ka option mil jaata hai. aur free photos ke sath-sath apko isme free Videos ko download karne ka bhi option mil jata hai.

Jysa ki apne dekha ki kitni saari Free stock images sites hai internet me jinko ki ap free me use aur download kar sakte hai. Ye sab jo saari websites ki list humne apko di hai ye sab bahot achi Free stock images sites hai, aur insab me apko bahot saari free stock photos download karne ko mil jayngi.

Note: In sabhi websites ko use karne ke pehle ap ye jarur dekh len ki kahi koi copyright to nahi hai, ya koi attribute toh nahi hai, jisko ki apko apne image ke sath me likhna pade.

apko kysi lagi ye sabhi websites aur kya ap bhi use karna chahte hai, ya use karte hai, hume apna suggestion aur feedback jarur batye niche diye gye comment box mein.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



2 thoughts on “Top 10 Free stock images sites Janiye konsi hai”

Leave a Comment