Table of Contents
Hindi Mein Jaaniye ki YouTube Par Video Kyse Upload Karte hai.
Bahot Saare log Chahte honge ki Unka Bhi Ek YouTube Me Channel ho jisse ki wo Paise bhi kama sake to aaiye jante hai ki YouTube Par Video Kyse Upload krte hai phir wo chaahe Computer se krna ho ya Mobile Se karna ho. To Sabse Pahle hum jaante hai ki Computer me YouTube Pare Video Kyse Upload Krte hai.
Computer Se YouTube Par Video Kyse Upload kare
Step 1: Computer me YouTube me jaakar apne Google Account se YouTube Par login kare jyse ki niche digai Image me diya gya hai.
Step 2: An ap YouTube par Login ho chuke hai, ab agar apko Video Upload krna hai to jyse niche digai image me Circle bna hai waha par Click kriye.
Step 3: Ab apko Video Upload krne ke liye naya Window Open hogya hai jaha “Select Files ToUpload” Likha hua hai waha Click kariye, Click Krne par apke saamne ek Window Open Hoga waha se ap Apna Video Select Kar lijiye. Aaiye baaki or jo Point diye gye hai niche digai Image par unke baare me jaante hai.
1- Yaha Se Ap apna Video Upload Krskte hai.
2. Yaha se ap Apna Video Apne Google Account se bhi Select kar sakte hai.
3. Yaha Se Ap Live Video On kar sakte hai.
4. Yaha Se Ap Photos ko Add karke ek Slideshow bna skte hai.
5. Yaha Se ap apni video ko thoda bahot Edit karsakte hai.
Step 4: Video Upload karne ke baad ab apke saamne aysa page Open hoga Jysa ki niche digai Image me dikah raha hai. yaha par apko kuch Details bharni hogi jysa ki apka Video hai uske baare mein. Aiiye jaante hai ek-ek karke puree Points ke baare mein ki kinse kya hota hai.
1. Yaha Par Apki Video ki Processing Dikhai Jaarahi hai Matlb ki kitna apka Video Upload hogya hai kitna bacha hua hai.
2. Yaha Par Apko Apne Video Ka Title daalna hai. Title me apne Jo Video Bnya hai uske baare mein he likhe.
3. Yaha Par Apne Video ke baare mein likhiye. yaha par ap apne page ya or koi si link bhi daal sakte hai.
4. Yaha Par apko Tags daalne hai, Tags matlb ki ap kis Chiz ka Video Daal rahe hai ya Wo kis category me aata hai wo likhiye.
5. Yaha Par Ap apni Video ka Starting Image set kr sakte hai joki apko Video ke starting me dikhana hoga.
6. Yaha Se ap Apne Video ki Privacy Set karsakte hai.
7. Yaha Se ap Apni Video Ko Google Plus aur Twitter par bhi Post karsakte hai.
8. Yaha Se ap apni playlist bana sakte hai.
9. Yaha Se ap Video ke Kuch Aur Functions Ko Maanage kar Sakte hai.
10. Yaha Se ap aur Videos bhi add Karsakte hai.
11. Yaha Se ap apni Video ko Publish kar sakte hai agar apka video Pura set hogya hoto.
Step 5: Ab apka Video YouTube Par Upload Hogya hai ap Video dekh vhi sakte hai.
Mobile Se YouTube Par Video Kyse Upload Kare
Step 1: YouTube ki App Open Kariye uske baad jaha par Niche digai Image par Circle bana hai waha par click kariye.
Step 2: Ap jysa ki niche digai Image mein diya gya hai waha par click karne apne Google account se Sign in kariye.
Step 3: Abe Yaha Se ap apna Video Upload kar sakte hai. Video Upload krne ke liye Jo niche digai Image me dikhya gya hai waha par Click Kariye.
Step 4: Ab apko yaha par Apne Video Ki Detail Bharni hai. aaiye ek-ek Point se jaante hai ki kya krna hai.
1. Yaha Par apko Video Ka Title likhna hai jobhi apke video ka name apko likhna ho.
2. Yaha Par ap Video ke baare me or likh sakte hai ya phir ap yaha par koi bhi link add kar sakte hai.
3. Yaha Se ap apne Video ko Public ya Private kar sakte hai iska matlb hai ki apko apki Video ko Publish krna ha taaki sab dekh sake ya phir sirf ap dekhna chahte hai.
4. Ab apko yaha par Click karna hai, Click karne par apka Video Upload hone legega jyse ki niche digai Video me dikhya gya hai.
Ab apka Video Upload hochuka hai ap dekh sakte hai ki apka video kysa chalraha hai.
Sayad ab ap samajh gye honge ki Video Kyse Upload krte hai YouTube Par gar apko or kuch bhi puchna hai ya or kuch samjh me nahi aaya hai to ap niche diye gaye comment box me message karke puch sakte hai.
Read Also:WordPress Kya Hota hai? Hindi me Jaaniye