Table of Contents
Khud ke Whatsapp Sticker kaise banye
Hello, Abhi kuch months pehle Whatsaap ka ek new update aaya hai, jisme ab Sticker ka option diya gya hai, matlb ki ap ab WhatsApp me new feature ka use kar sakte hai, jiski help se ap Stickers send kar sakte hai, yaha tak ki ap apne khud ke Whatsapp Sticker bana sakte hai, aur unko Whatsapp me send kar sakte hai.
Whatsapp Sticker kya hai?
Agar ap Whatsapp use karte hai, toh apke pass ek na ek Sticker jarur aaya hoga, kisine apko send kia hoga ya apne kisi ko send kia hoga, agar aysa nahi hua hai, to ap apne whatsapp ko update kare jiske baad ap Stickers send aur receive kar sakte hai. Whatsapp ke new update me ab ap Emoji’s ke sath-sath Sticker bhi send kar sakte hai, jysa ki agar apne Hike Messenger kabhi use kia ho toh usme aysa hota hai, Sticker ek terh ki image hoti hao joki Sticker ke jysa apko dikhta hai.
Whatsapp Sticker kaha se Start kare
Agar apko Feature ka use karna hai, toh apko ye dhyan dena hai, ki apne latest Whatsapp version ko install kia ho, aur apka Whatsapp updated ho tabhi ap ish feature ka use kar paynge.
Jab apka Whatsapp Update ho jaye toh apko Whatsapp open karna hai, uske baad apko kisi ko message send karne ke liye unki chat open karni hai, ab jaha se ap Emoji send kia karte the waha par ek aur feature apko show hoga jaysa ki niche digai image me apko dikh raha hoga, ab ap waha se sticker ka use kar sakte hai.
Agar apko aur Sticker add karne hai, toh ap Plus (+) wale Sign me click karke, waha jitne bhi new Stickers honge apko Dikh jaynge, aur ap unko download karke Send kar sakte hai.
Khud ke Whatsapp Sticker kaise banaye apne Mobile me
Kud ke Whatsapp Sticker banane ke liye apko kuch important apps ko apne mobile par download karna hoga, aur uske baad he ap apne khud ke Sticker bana paynge, Toh chaliye Suru karte hai.
Sabse Pehle Niche Digai App ko Install kare
2. Personal stickers for WhatsApp
Ab jab apke Mobile me ye apps install hojaye uske baad apko apni image banai hai, joki ap Background Eraser App se bana sakte hai, to chaliye dekhte hai, ki wo kaise kare.
Step 1. Background Eraser App ko open kare
Step 2. Ab waha se apni image ko select kare jisko ki ap Sticker banana chate hai, uske baad apko usko edit karke Background remove karna hai.
Step 3. Ab jab apki Image Edit hojaye, toh ap unko save kar len, ayse he 2-3 Images ke sath kare, aur unko save kar len.
Step 4. Apki Images save hone ke baad ab apko Personal stickers for WhatsApp ko Open karna hai, aur waha par Automatically apko, apki Edit ki hui images show hone lagegi, aur waha se ADD button me click karke ap usko apne Whatsapp me add kar sakte hai.
Ab jaise he ap apna whatsapp open karnge apko waha par apke banye huye Stickers show hone lagenge, aur ap unko kisi ko bhi send kar sakte hai.
Ab apko pata chal gya hoga, aur ap samajh gye honge ki kaise hum khud ke stickers WhatsApp par send kar sakte hai, aur wo bhi itni aasani se. ab agar apko kuch samajh nahi aaya ho, ya kuch nahi ban raha ho toh ap humse puch sakte hai.
Apko kysa laga ye feature aur kya ap bhi iska use karnge, aur apne khud ke Whatsapp sticker send karnge, hume jarur bataye, niche diye gaye comment box me, aur isme apne Friends aur Family ke sath bhi jarur Share kare.
Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.
NYC Sir achi post hai Full Help thi NYC Sir
Thanks, Pawan Rajput
Such a fabulous article. very helpful and informative. thanks for sharing with us. thanks a lot 🙂
Thanks