Table of Contents
QLED Display Kya hai? Hindi Me!
Hello, Aksar ap Sochte Honge ki Kash hum ek achi si LED TV le lee, Or Phir Apka mood bante he ap TV Lene Nikal padte hai, Or Chahte hai ki paise lag jaaye to lag jaaye lakin apko ek Achi TV he Lena hai, Lakin Waha jakar ap dekhte hai ki waha to bahot saari TV Hai or Unme se koi si LED hai, LCD hai QHD hai QLED hai ya phir OLED Hai. To Phir ap sochte hai ki aakhir ye sab hote kya hai, waha Puchne par bhi apko ache se jawab ni mil paata hai kai bar, to aaiye aaj jaante hai ki QLED Display Kya hai, Or ye Kyse alag hai OLED Display se. Or Nikaalte hai is problem ka Solution. Sabse Pahle jaante hai ki “QLED aur OLED” Hote Kya hai.
QLED Aur OLED?
QLED Display Kya hai
QLED:- QLED:- Iska Pura Naam “Quantum Dot Light Emitting Diode” Hai.Ye ek New Technology hai jo ki South Korean Ki Company Samsung ne invent ki hai. Jaadatar Samsung Apne TV me QLED ka istemal karta hai. Iska Use TV ki Picture Quality ko or bhi jada improve karne ke liye hota hai.
OLED:- Iska Pura Naam “Organic Light-emitting Diode” Hai. Ye ek TV Display Technology hai jo ki alag techonology se bnta hai or LED TV se alag hota hai. Aur iska Use Quality ko maintain karne ke liye kiya jaata hai.
Related: AMOLED Display kya hai? OLED aur AMOLED me kya Difference hai
QLED Display Kyse Image ki Quality ko Improve karta hai?
QLED Me jo Quantum Dots hote hai wo Phosphorescent Semiconductor nano crystals hai or ye Light ko alag-alag Frequency me Electronic Energy ke help se nikalte hai. Quantum dots ka Use LED Panels me better contrasts or ache viewing angles ke liye use kiya jaata hai. Iski Wajah se Image Quality or bhi achi hoti hai, pr Viewing Experience or acha hota hai.
QLED aur OLED me Kya Difference hai?
TV me Black Level mtlb Black color ka use bahot important hai, jo ki Picture ki Quality ko or bhi contrast aur clear bntata hai, agar Black Level ki baat ho to OLED Display sabse acha hai iske liye. Agar hum Brightness ki baat kare to isme sabse acha Brightness QLED TV’s ka hota hai, QLED TV me acha HDR (High Dynamic Range) hota hai jo Picture ki Brightness ko or bhi acha bnata hai. Agar hum ek Dark room me TV dekh rahe hai to OLED me thoda Quality achi nahi hogi wahi QLED TV ki Brightness jada hone se wo achi Picture Quality dega. Agar hum baat kare sabse ache Viewing angle ki to sabse acha viewing angle OLED TV’s ka hota hai, OLED Screen me hum 84 Degrees tak achi Quality me Dekh sakte hai joki QLED Me nahi. Agar Size ki baat kare to QLED TV sabe badi size me aata hai QLED TV 100-inches and or bhi jada ke aate hai, wahi OLED Display 55-inches se 77-inch tak he aate hai, iski wajh ye hai ki ki LCD Display ki Size kam hoti hai. Agar hum power ki baat kare to OLED TV me Sabse light weight, or less power ki jarurat padti hai, or ye QLED TV’s se Thinner hote hai, islye ye jada Power save karte hai. Agar hum baat kare Price to to in dono me Jada difference nahi hai, dono he Bahot High-Quality ki hai ab ap ko kuch clear hogya hoga ki QLED Display Kya hai to aaiye or jante hai iske baare me.
Price- Samsung ki QLED TV India me Price hai,
(1) Samsung 55-inch QA55Q7F Smart QLED TV Price- Rs. 2,87,700
(2) Samsung 65-inch QA65Q8C 4K Ultra QLED TV Price- Rs. 4,31,799
LG ki OLED TV India Me Price Hai,
(1) LG OLED55B6T 55-inch 4K Ultra Smart HD OLED TV Price- 2.79,900
(2) LG 65-inch OLED65B6V 4K Ultra HD TV Price- 4,30,000
To ab sayad ap samajh gaye honge ki Konsi Achi hai QLED ya OLED wyse Friend’s Dono me Jada fark nahi hai lakin kahi-kahi bs thoda sa difference hai, dono apne ap me achi hai. To agar apko is post se related ya phir or kuch bhi techonology se related puchna ya janna ho to niche diye Comment box me apna Question Puch Sakte hai, ish Post ko read karne ke liye apka Dhanyabaad.
Also Read: Gmail Ke Bina YouTube Me Account Kayse Banaye
nice article sharing thanks very helpful
We are glad to hear this, thanks 🙂
Such a nice information thank you so much for sharing this post.
Thanks
Thanks for sharing post. it’s really helpful to giving oled and qled.now my concept is clear.?
Thanks, Dipti glad to hear this:)
kya baat