IRCTC Rail Madad app kya hai? Janiye ish app ke baare mein

IRCTC Rail Madad Mobile App ke bare mein

Indian Railways Catering and Tourism Corporation Ltd. (IRCTC) ne ek new app “Rail Madad” Mobile app ko start kia hai. Ish Mobile App se sabhi yatri apne train aur station se judi hui sabhi information ke baare me jaan sakte hai, aur unki complain online kar sakte hai. Railways Passenger Grievance Redressal and Management System (RPGRAMS) ne Yatriyon ki sabhi complains ko solve karne ke liye online apni complain ko submitted karne ke liye ish mobile app ko start kia hai.

Agar hum baad kare MADAD word ke full form ka to iska full form hai, ”Mobile Application for Desired Assistance During Travel” iska matlb ye hai ki Yatriyon ke traveling ke time me unhe ho rahi kisi bhi tarh ki pareshani ya ashuvidha ki wo complain ish mobile app ki help se kar sakte hai. Agar ap ish IRCTC Rail Madad app ko apne mobile me Download karna chahte hai to ap isko Play Store se download kar sakte hai aur ishka Size bhi bahot kam hai. App ko apne Mobile me install karne ke baad ap isme apna account apne mobile number ki help se bana sakte hai, aur isee apko apni Instant ID bhi mil jayegi. iske baad jab ap apni complain ishme enter karnge tab apko Railways se apke mobile number par message se apki complain ki puri information mil jayegi.

Also Read:- IRCTC new website aur bhi jada fast aur easy to use hogai hai

IRCTC Rail Madad App me apni Compalin kyse kare

Jysa ki ap samjh gye honge ki Rail Madad mobile app se ap koi bhi railway se related complain kar sakte hai, aur apke Unique ID ki help se turant apki complain le li jyegi aur usee process me dal diya jyega. Isme Digital India ke liye apko apki complain ka stautus SMS ki help se apko bataya jayega. Aaiye iski puri process jante hai.

3

IRCTC Rail Madad Mobile App ko Download aur install kare

  • Agar ap ek Android Smartphone User hai to iske liye apko Rail Madad app ke name se Play Store me search karke usko install karna hoga, aur Apple ke IOS users bhi isko apne Apple Store se install krasakte hai.
  • Rail Madad ki mobile app ko apne smartphone me install karne ke baad ap apni complain Online kar sakte hai, lakin uske pehle apko App ko install karne ke baad Register karna hoga apne mobile number ki help se.
  • Apne Name aur Number ko Enter karne ke baad apko Get OTP me click karna hoga, uske baad apke mobile par OTP aayega ush OTP ko apko Enter OTP par enter karna hoga, iske baad apko Register ki button me click karna hoga, jiske baad ek new page open hojyega apke mobile mein.
  • iske baad ap train aur station se relaed sabhi complain ko register karsakte hai. aur ap apni 3 months ki complains ko bhi dekh sakte hai.

rail madad

Train se related Complain register kare

Rail Madad Mobile app ki help se ab ap sabhi trains se related apni complain ko online register kar sakte hai. iske liye apko “Register My Complaint for Train” me click karna hoga.

Station se Related Complain register kare

Rail Madad Mobile app se ap sabhi railway station se judi apni complain ko online register kar sakte hai, iske liye apko “Register My Complaint For Station” par click karke apni complain enter karni hogi.

IRCTC Rail Madad ki app me kuch important Railway se related numbers bhi diye gye hai, apki help ke liye isme bahot saare numbers jyse ki Medical helpline, PNR, RPF helpline, Child Helpline aur bhi bahot si helplines me call kar sakte hai, aur apni complain kar sakte hai, So dear reader ab sayad apko Rail Madad Mobile ke baare me pata chal gya hoga, agar apko ish app se related aur bhi koi information chaiye ho to ap humse nice diye gye comment box me puch sakte hai, ya ap hume contact bhi kar sakte hai.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.

Source

3 thoughts on “IRCTC Rail Madad app kya hai? Janiye ish app ke baare mein”

  1. I know this is a very useful article but I want to know that can we put complaint from this app, let me know!
    I would also thank you for posting such an article.
    Best of luck!!!!!

    Reply

Leave a Comment