YouTube Video ko Audio Me Kaise Convert Kare

YouTube Video ko Audio Me Convert kare

Hello Friends, Jaisa ki ap YouTube par Video Dekhna, Music Videos Dekhna bahot pasand karte honge, Aur Aise me humare sath kai bar aisa hota hai, ki humko Video to Bahot acha lagta hai lakin hume sirf wo video ka Audio lena hai, aur usse apne Mobile ya Computer me save karna hai.

To Friends aaj hum apke liye iska Solution lekar aaye hai, jisse aap YouTube Video ko Audio me convert kar sakte hain, aur Apne Mobile ya Computer me save kar sakte hain, Waise to Video ko Audio me convert karne ke bahot se tarike hain, lakin hum aj apko sabse aasan tarika batane jaa rahe hain, jisse ap Video ko Audio me convert kar sakte hain.

Also Read:

Mobile me YouTube Video ko Audio me kaise convert kare?

Agar aap chhate hain, ki aap YouTube Video ko apne Mobile me Audio me convert kar sake to ap, mobile me bhi aisa kar sakte hai. Mobile me aisa karne ke liye niche Diye gaye Steps ko achchhe se Follow kare.

Step 1: Sabse Pehle apko YouTube ki App me jaakar apna Video Open karna hai, aur phir jaha par Share likha hua hai waha par click karna hai, jaisa ki apko niche Dikhai Image me show ho raha hoga.

youtube 1

Step 2: Ab Jaise hi aap Share me Click karenge, apke saamne ek Pop up aayega, aur waha par apko bahot saare Share Button ke Option show honge, aur waha par ek aur Button hogi jaha par likha hoga, Copy Link, apko waha par Click karke Video ki Link ko Copy karna hai.

youtube 2

Step 3: Ab Link copy karne ke baad apko, Browser Open karna hai, ho sake to aap Chrome Browser ka use kare. Ab google me www.onlinevideoconverter.com Site ko search karke open kare.

youtube 3

Step 4: Ab apki jo site open hogai hogi aur wo kuch ish terh ki hogi jysa ki, apko niche digai image me show ho raha hoga. Ab apko jaha par Convert A Video Link likha hai, waha par click karna hai.

youtube 4

Step 5: Ab jaise he ap Convert a Video Link me click karnge, apke saamne kuch aysa page open hoga, jysa ki apko niche digai image me show ho raha hoga, ab apko jaha par Lika hoga Past link here, waha par click karna hai, aur apna Formate select karke Start Button me click karna hai.

youtube 5

Step 6: Jab ap Start Button me click karnge, apke saamen ek new page open hoga, waha par apko apke video ka ek screenshot aur 2 buttons show hogi, jaha par likha hoga, Download aur Convert Again, apko Download me click karna hai, phir ye Video apke mobile me save hojyega.

youtube 6

Computer me YouTube Video ko Audio me kaise convert kare?

Agar ap Computer me YouTube Video ko Audio me convert karna chhate hai, to apko woi same process karni padegi jo apne Mobile me ki thi, Agar apko Computer me aysa karna hai to, sabse pehle apko browser me YouTube ki Site Open karke Apna Video open karna hai.

Video Open karne ke baad apko Video ka URL Copy karna hai, aur Jo Site hume apko batai thi https://www.onlinevideoconverter.com isme Jakar apne Video ko Audio me convert karna hai. 

Ab Apko Samjh aagya hoga ki kaise ap Online YouTube Video ko Audio me convert kar sakte hai, aur Usse Download bhi kar sakte hai. Ye Method Ek bahot Easy method hai, aur iske liye apko apne Smartphone me koi Application ko bhi Install karne ki Jarurat nahi hai. 

Agar apko ye Post Pasand aayi ho, aur isse apki kuch help hui ho to ap isse  Apne Friends aur Family ke sath bhi jarur Share kare. Agar apko Posrt me koi chize Samajh nahi aayi ho, ya ap humse kuch puchna chhate hon to ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hain.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.

Leave a Comment