Table of Contents
- Top 10 WhatsApp Tricks ke baare me Janiye
- Top 10 Whatsapp Tricks
- 1. Group Video Calling
- 2. Whatsapp me Stickers Send kare
- 3. Reply Privately Message in Groups
- 4. Delete Message for Everyone
- 5. WhatsApp Media ko Gallery me Hide kare
- 6. Share Live Location
- 7. Whatsapp Number Change kare
- 8. Whatsapp ke Deleted ke Messages ko read kare
- 9. Desktop/PC me Whatsapp chalayen
- 10. Important message ko save kare
- Share this:
- Related
- Top 10 Whatsapp Tricks
Top 10 WhatsApp Tricks ke baare me Janiye
Top 10 WhatsApp– Hello friend’s jysa ki hum sab bahot dino se WhatsApp ka use kar rahe hain, aur ek Terh se Whatsapp humare daily routine me aagya hai, Whatsapp ke bina hum jada der tak nahi reh sakte hain. Whatsapp ek terh se information lene aur dene, apne friend’s aur family se baat krne ka sabse acha messenger hai.
Whatsapp jabse aaya hai, tabse isme bahot saare changes huye hai aur bahot saare New features bhi whatsapp me aaye hai, aur bahot saare features humko pasand aaye hai, aur bahot saare nahi. To aaiye aj hum jaanenge whatsapp ke kuch top 10 sabse ache features.
Top 10 Whatsapp Tricks
1. Group Video Calling
Ap kisi Whatsapp group ke member jarur honge, ya apka bhi koi Whatsapp group hoga aur ussme ap apne friends aur family ke sath baaten share karte honge, par kya apko pata hai ki ap Group chat ke sath-sath Whatsapp par Group Video calling bhi kar sakte hain. Ap 4 Logo ke sath Group Video calling ek sath kar sakte hain. Apko iska use jarur karna chaiye.
2. Whatsapp me Stickers Send kare
Whatsapp
3. Reply Privately Message in Groups
Whatsapp me ap jab kabhi bhi Group par baat kar rahe hote hain to agar apko kahi kisi ek Group member ko message ka reply karna ho to ap kar sakte hain, aur kiski aur ko pata bhi nahi chalega. Agar ap Group me kisi ko Privately reply karna chhate hain to uske liye apko jisko Message karna hai uski chat ko press karke rekhna hai, phir apko upper jaha par 3 dots show honge waha click karna hain, waha par bhi apko ek option dikhega jo ki hoga, Reply Privately, ap yaha click karke reply kar sakte hain.
4. Delete Message for Everyone
Whatsapp me bahot time baad ye feature aaya tha, ki ap send kiye huye messages ko delete kar sakte hain, aur phir usse koi aur dekh bhi nahi paayega. Aagar kabhi apne kisi ko galti se message send kar diya tha aur ap unko wo message nahi send karna chhate the, to ab ap message ko delete kar sakte hain. Dnyaan rahe ki ye feature message bhjne ke 1 hour 8 minutes aur 16 seconds ke liye hoga, aur agar ap iske baad message delete karnge to wo sirf apke liye delete hoga.
5. WhatsApp Media ko Gallery me Hide kare
Jin logo ki pass bahot saare Media Files Jaise Photos aur Videos Bahot jada aate hain, aur wo Puri Gallery me show hote hain, aur kai bar ap jo photo aur videos dekhna chhate hain wo nahi dekh paate hain, to iske liye ap Media ko Hide kar sakte hain.
Media ko Gallery se hide karne ke liye apko Settings me jaakar Chat wale option me jana hai, aur waha par sabse niche Media visibility wale option me Uncheck karna hai, iske baad apki media file gallery me show nahi hogi.
Also Read:- WhatsApp के Delete Messages को दोबारा कैसे पाएं?
Jysa ki hum Google Maps me apni location dekh sakte hain, aur usko share kar sakte hain, waise he hum Whatsapp me bhi apni current location apne contacts ke sath share kar sakte hain. agar apko nahi pata hai ki Whatsapp me location kaise send kare to uski jankar apko yaha se mil jayegi.
7. Whatsapp Number Change kare
Whatsapp me agar apko apna number change karna hai, ya ap new number se WhatsApp chalana chhate hain, aur ap wahi same whatsapp se new number se Whatsapp chalana chhate hain, to ap wo bhi kar sakte hain. Whatsapp number change karne ke liye apko Settings me jana hoga phir Account me jana hoga, iske baad jaha par Change Number likha hoga waha par click karna hai. Whatsapp number kaise change kare uski puri jankari ke liye Click Here
iske baad apko apna new aur old dono number enter karna hoga, aur dhyaan rahe ki apka jo new number hai wo challu ho, quki whatsapp wo number ko verify karega, iske baad apka number change hojayega.
8. Whatsapp ke Deleted ke Messages ko read kare
Jabse whatsapp me message delete ka feature aaya hai, tabse whatsaap me agar koi galti se koi message send kar deta hai, aur phir wo message ko delete kar dete hain, aur hum wo message ko read nahi kar paate hain, phir humko lagata ki unne kya message send kia hoga, jo delete kar diya, to friends ab ap wo delete message ko bhi read kar sakte hain, agar ap jaanna chhate hain ki delete message ko kaise read kare to uske liye click here
9. Desktop/PC me Whatsapp chalayen
Ji han ap jaise apne Smartphone me whatsapp chalate hain, waise he ap apne Computer ya laptop par bhi chala sakte hain jisko ki Whatsapp Web bolte hain. Agar apko nahi pata hai ki Computer me Whatsapp kaise chalate hain to ap uski janakri yaha se le sakte hain.
10. Important message ko save kare
Bahot baar humare sath aysa hota hai ki, kisi se humko koi importnat message ya, koi file send ki ho, aur wo hum chat me nahi mil rahi ho, to iske liye jab koi message aaye aur apko lage ki wo apke liye important hai, to iske liye ap usko mark karke baad me aasani se dekh sakte hain, iske liye apko jo message ko save karna hai, usko der tak press kar ke rekhe, phir apko upper options show honge, waha par apko ek star ka option show hoga, wpko waha par click karna hai, phir apke messages save hojyenge aur phir wo message ko dekhne ke liye ap, jaha par sabhi chats hai waha par aajye, aur jo upper three dots show honge waha, click kare, phir apke saamne option show hoga waha likha hoga, Starred messages, yaha click karke ap message read kar sakte hain, jisko apne save kia tha.
Ab apko pata chal gayi hongi, kuch acchi Top 10 WhatsApp tricks ke baare me joki hum apko batana chahte the. inme se bahot si chize sayad ap jaante bhi honge, aur agar nahi to apko kuch acha jaane ko jarur mila hoga, ap ish post ko apne friends aur family ke sath bhi jarur share kare.
Aysi Posts ke liye HindiMeInfo ko Follow kare Facebook, Twitter, Join FB Group uar Subscribe kare YouTube Channel ko
Nyc bro
Vijay Thanks 🙂