Table of Contents
Google Fi Kya hai? Google ki New Internet Service
Google Bahot pehle se ek Wireless Service ko laane ki taiyari kar raha tha. Ye Service Pehle Sirf Nexus 6 Smartphone ke liye laai gai thi, aur phir ise dheere dheere Aur bhi Smartphones ke liye Open kia jaa raha hai. Jab ye 2015 me Launch hua tha tab iska name “Project Fi’ Rakha gya tha, lakin ab iska name change karke, “Google Fi” kardiya gya hai.
Google ka Kehna hai ki hum Google Fi ko aur bhi companies ke sath Tie-up karke aur achi Service dene ki kosis kar rahe hain.
Google Fi Kya hai?
Google Fi ek terh se SIM Service hai, aur ye High-Speed Internet aur Voice call ke liye Google ne start kia hai. Ye Service ko use karne ke liye apko ek Khass terh ki SIM ka Use karna hoga, abhi tak toh ye Nexus Devices me kam karta tha, lakin ab ye Google Pixels aur “Google Fi” se related aur Phones me bhi chalega.
20 Doller Per Month Par User ko Ye Service Milegi, Aur Ye Service 120 Countries me International Coverage aur talk value milegi. Pehle Toh ye News aarahi thi ki Google T-Mobile aur Sprint Ke Sath Milker Apni Wireless Service Degi, Taki User Dono Network Use Kar sakte hain. Google ka Kehna hai ki Unhone Behtar Coverage aur Connectivity ke liye new technology ka use kia hai, jisse WiFi LTE Network Par Behtar Network aur Connectivity mil sakegi.
India me Google Fi ki Testing Chal rahi hai, aur ye Bhaot si City’s me start bhi hogaya hai. Abhi Google Fi ke baare me jada logon ko pata nahi hai, lakin ye bahot jald aane wala hai, aur India me Jio, Airtel aur Idea ko piche bhi chor sakta hai.
Google Fi Kaise kaam karega?
Yaha tak toh thik tha ki ye Google ki New Service hai, jisse apko high speed Internet aur Voice Calling ke Offers milnge, lakin Hum apko bta den ki Ye bhi SIM card jysa he hoga, bus thoda sa different hoga ye other SIM cards se. Google Fi agar India me ache se sabhi jagh par lag jaata hai, toh ye ek bahot achi baat hogi India ke liye. Isse India me Internet ki Speed ke upper bahot Ferk padega.
Sayad ab apko Google Fi ke baare me thoda bahot Idea Lag gya hoga, ki Google Fi kya hai, aur iska kya use hai. Agar apko koi baat jo Google Fi se related ho aur Samajh nahi aarhi ho toh ap humse Niche Diye Gaye Comment Box me Puch sakte hain. Agar apko Google Fi ke baare me aur Detail chaiye to ap Google Fi ki Offical Website Par jakar Detail pata kar sakte hain.
Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.