QR Code Kya hai? Khud ka QR Code Kaise Banaye, Puri Jankari

QR Code Kya hai, Puri Jankari Hindmeinfo ke sath

Kya apne kabhi Socha hai, QR Code Kya hai, ya ye kya hota hai, iske kya use hai, aur ye kis terah se humare kam aata hai. QR Code Marketing ka ek bahot acha option hai, aur ye Logo ke liye bahot helpful hota hai. QR Code se ap bahot saare kam kar sakte hai, aur QR Code se ap apne Brand Ya Product ko Promote kar sakte hai. Ap ye artical ache se aage read karte rahiye apko QR Code se related sari jankari aj mil jayngi.

QR Code Kya hai?

QR Codes ek terah se Quick response ke codes hote hai, Ye Square Shape me, Black aur White Symbols ke sath aata hai, jisko Apne Smartphone ki Help se ap Scan karke ush QR Code me kya information hai, wo apko Scan karne ke baad apke Smartphone me Show hojati hai.

qr code 1

QR Code me apko Links, Coupons, koi bhi Event ki Details aur bhi bahot saari Information ko store kar sakte hai, aur unko apne Customers ke pass QR Code ki help se send kar sakte hai.

QR Code kuch esh terah se hota hai, jysa ki apko niche digai image me show ho raha hai.

Ye nahi hai ki humesha QR Code Square ke he shape me apko milnge, kai bar ye apko alag alag, shapes me bhi mil jaate hai. Ye jada tar White aur Black color me rehte hai, taaki ap jaldi se isko Scan karke iske andar ki inforamtion ko paa sakte hai.

QR Code vs Barcode kya hai?

QR Code me apko Square Shape me box bana hota hai, usko Scan karna hota hai, uske baad apko information mil jaati hai. Jabki Barcode ko apne kisi Product ke piche dekha hoga jisme apko Black color me lins show hoti hai, aur un lines ke niche apko kuch numbers dikhte hai, wo Barcode kehlata hai, aur Barcode jada tar kisi Product ki pehchan ya uska stock tally karne ke kam aata hai.

QR Code aur Barcode me ye 3 Sabse jada Difference hote hai.

1. QR Code ka Shape bahot different hota hai, Barcode se.

2. QR Codes me Barcode se jada Data Save rehta hai.


3. QR Code aur Barcode dono he alag-alag Data ya information ko Store karte hai.

QR Code Kaise kam karta hai?

Sabse Pehle QR Code Japan ki ek Automotive Industry ne start kia tha apne product ki marketing ke liye. QR Code me ap bade data ko bhi stre kar sakte hai.
Agar koi customer kahi par bhi QR Code ko dekhega, toh usko sirf apna mobile nikal kar, kisi bhi free QR Code Scannner app se, ya to ajkal kuch Mobile companys jaise Xiaomi apne Smartphones me pehle se he QR Code Scanner ki app ko install kar kr dete hai, aur ap unse QR Code ko scan karke uske andar ki information ko le sakte hai.

QR Code Kaise Banaye

QR Code ko banane ki Process bahot he aasan hai, aur ap easly apna khud ka QR Code bana sakte hai.

QR Code banane ke liye ap ye Simple Steps ko follow kar sakte hai.

Step 1: Sabse Pehle ek QR Code Generator ko select kariye.

Yaha online apko bahot saari aysi websites mil jayngi jaha se ap QR Code bna sakte hai, apko sirf google par likhna hai ki, QR Code Genertor, uske baad apko bahot saari sites mil jayngi jaha se ap apna QR Code bana sakte hai.

Kuch Best QR Code Generators Sites ke names

in Websites se ap free me QR Code bana sakte hai, aur wo bhi apni choice ke hisab se, ki apki kya requirement hai, ya phir apko kaysa QR Code banana hai, ap apni pasand aur uske use ke hisab se QR Code bana sakte hai, in websites ki help se, toh chaliye inhe ki websites me hum ek QR Code banate hai.

Step 2: Toh chaliye hum qr-code-generator.com se apna QR Code banate hai, aur uski puri jankari lete hai.

qr code 5

Sabse Pehle ap ye select kariye ke ap kis type ka QR Code bnana chhate hai. Ap kya chhate hai ki usko Scan karne ke baad ap unko kya data show karna chhate hai. Hum Direct URL ke liye Select karte hai.

Step 3: Apna Pura Data enter kare

qr code 6

Agar ap chhate hai ki QR code me contect information save ho toh ap apna Email Address aur Subject line fill kar sakte hai.Phir ap Website URL Fill kar dijiye.

qr code 7

Step 4: Aur bane ke baad Dynamic me click karke usko save karke Create QR Code me click kar dijiye.

QR Code banne ke baad ap usko Download kar sakte hai, aur kisi ko bhi send ya kahi par laga sakte hai, aur usko Scan karne ke baad saari information mil jayngi.

qr code 8

 

Ek bar jab QR Code ban jaye, tab ap usko Test jarur kare ki wo ache se kam kar raha hai ya nahi, kai bar aysa hota hai, ki bahot se apps QR Code Scan nahi kar paate hai. toh ap usko kahi apply karne se Test jarur karlen.


Toh sayad ap apko pata chal gya hoga ki, QR Code Kya hai aur ye kaise kam karta hai, aur kaise ap khud ka QR Code bana sakte hai.
Agar apko kuch samjh nahi aaya ho post me toh ap humse puch sakte hai.

Ye post apko kaisi lagi humko jarur batye niche diye gye comment box me, aur post ko apne friends aaur family ke sath jarur Share kare.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



Leave a Comment