What is GigaFiber ? Janiye GigaFiber Kya hai Hindi mein

Giga Fiber ke kya hai aur ye kyse kam karta hai chaliye jante haai hindi mein

Hello dear reader, Jysa ki ap jante hai ki internet ajkal hum sab ki ek bahot jaruri chiz bangai hai, ayse mein hum bina internet ke apna ek bhi din nahi spend kar paate hai, Internet ek tarh se humare liye bahot helpful bhi hai aur nuksaan dayak bhi hai. Ajkal Internet ke sath-sath internet ki speed bhi bahot important hogai hai, aur hum jada se jada speed me internet chalana chahte hai. Giga Fiber ka concept bhi esi chiz ko dhyan me rakhte huye bnya gya hai, to chaliye iske baare me detail me jaante hai.

Gigapower 

Sabse pehle Giga internet ko Google ne ek Telecom company AT & T ke sath milkar isko launch kia tha. isko launch karne ke piche google ka target high speed internet dene ka tha. esh Gigapower se internet ki speed 1GB/sec hojati hai. Agar ye 1GB/sec ki speed na nhi de aur agar ye 300MB ya 500MB per sec ki bhi speed deta hai toh ye bahot jada hoti hai, example ke liye maan lijiye agar ap koi movie download kar rahe hai aur uska size 750MB ka hai aur agar apki internet speed 100MB/sec bhi hai, toh apki movie 5-6 sec me puri download hojayegi.

Janiye GigaFiber ke baare mein

gigafiber

Giga Fiber broadband service hai jo Reliance ki sub company Jio ne launch kia hai, jiska name Jio Giga Fiber project hai, Jio giga fiber ka bhi wahi concept hai joki Google ke GigaPower ka tha.

“GigaFiber ek Fibre-to-the-Home (FTTH) Broadband service offer karta hai users ko Fixed lines services ke sath, jiski speed 100GB per sec tak jati hai”

Giga Fiber se kya fayda hoga?

Jysa ki Reliance Jio ne bya hai ki giga Fiber broadband service se internet ki speed 1GB/ sec tak jayegi ayse me user ko bahot se fayde honge aur unme se sabse bada fayda ye hoga ki, User Ultra HD Entertainment ko dekh sakte hai, aur 4K Streaming bhi kar sakte hai. isse ap video calling ke sath-sath Smart home solutions aur Virtual Assistants jyse Amazon Alexa aur Google Home jyse Assistant ko bahot ache se use kar sakte hai.

jio Jio GigaTV

Jio GigaFiber ko kyse lagwaye?

Agar apko Giga Fiber me intrest hai, ya ap esh service ko use karna chahte hai toh ap iske liye Registration kar sakte hai, Ragistaion ko ap My Jio App ya Jio ki Official website Jio.com se bhi register kar sakte hai. Company ne Launch event me ye bhi kaha hai ki Jaha se sabse jada registration aynge ush city me GigaFiber broadband sabse pehle lagega, aur iski service 15 Auguest 2018 se chalu hojayegi.

Jio ne Giga Fiber ke sath-sath Jio GigaTV ko bhi launch kia tha aaiye jante hai Jio GigaTV ke baare mein

Jio GigaTV Kya hai?

Jio GigaTV ek Set Top Box (STB) hai, jo company apne Jio Giga Fiber ke sath apne customers ko de rahi hai, aur Jio GigaTV me ap ko bahot saare free subscriptions bhi milnge, ap apne Jio GigaTV ko HD voice aur HD Video calls ke liye bhi use kar sakte hai.

JioGigaFiber se bahot sare profit honge, ho sakte hai ki iski service start hone ke baad company kuch aur intresting se free offers bhi de sakta hai, to ayse me agar ska kisi se competion hoga to wo hoga Airtel broadband se, lakin aysa lagta hai ki jyse Jio ne apne Data plans se sab kuch badab kar rakh diya hai, usi tarh se ye ab Broadband ki duniya me bhi apni pakad ache se bana lega, agar jysa company ne kaha hai, usi tarh se gar internet ki speed hui to ye ek bahot achi baat hai, sabhi internet users ke liye.

So dear reader ye tha ek artical Jio GigaFiber ke upr, ki ye kya hai aur ye kab se start hoga, so kya ap bhi jio Giga Fiber ka use karnge, ya ap ne bhi iske liye registation kia hai, agar kia hai ya nahi bhi kia to ap hume jarur bataye, aur ap kya sochte hai iske baare me ye bhi hume jarur bataye. Agar apko koi bhi question puchna ho ish post se related ya phir or koi bhi question ho apka to ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hai.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko

Leave a Comment