Table of Contents
Whatsapp ki kuch Tips and Tricks aaiye jaante hai Hindi me
Whatsapp me Ek Feature hota hai joki Read Receipt hai, jisme ki Blue Ticks ko On and Off karne se apko pta lag jata hai ki apka message read hua hai ya nahi, jyse ki ap dekh lete hai jab ap kisi ko message send karte hai or wo agar Read krleta hai to waha par Blue Ticks dikahi dete hai. Ayse he kabhi kabhi aysa hone se kisi ko lga hai ki read message se kisi ko pareshani hojyegi ya phir wo kuch personal baate soch lega.
Aysa Humare sath bahot bar hota hai ki kabhi-kabhi humara mn kisi se baat karne ka nahi hota hai or sirf hum apne smartphone me kuch bhi Videos ya Social Media me kuch karte rahe hai, or Tabhi agar kisi Friend ka message aajye or apko unko urgent replay karna padta hai, or phir ush urgent replay ki wajh se apka or bhi bahot saara Time waste hojata hai. ya phir kabhi-kabhi aysa hota hai ki agar kisi ka massage aata hai to hum chate hai ki kyse hum bina usee pta chale Message ko read karle or Sender ko pta bhi na chale ki humne unka Message read karlia or unko pta bhi nahi chala. or aysa bahot bar hota hai ki ap chahte hai ki apko pta chal jye ki apka message kisi ne read kia hai ki nahi, or ap sath me ye bhi chahye hai ki apne agar kisi ka message read kia hai to usee pta na chale ki apne uska message read karliya hai.
Related:
- Computer me Whatsapp kaise chalayen
- Whatsapp me location kaise send kare
- Whatsapp Sticker kaise banayen
- Whatsapp me delete message ko kaise read kare
Wyse to whatsapp ke ek feature pahle se he jisko ki Enable karne par ap ka blue tick band hojyega, lakin isme ek baat ye bhi hai ki agar ap apne Blue tick kisi ko nahi dikhana chahte hai to ap bhi kisi ka blue tick ka read receipt nahi dekh paynge, to phir aysa kya kare hum ki hum Message bhi padh le or kiski ko pta bhi na chale ki humne unka message read karliya hai or wo bhi bina Blue ticks ko band kiye bina.
Ye rahi ek chotti se Trick jise ki ap bina ki ko pta chale unka message read kar skte hai Whatsapp me
Try it:
Step 1:- Jab bhi kisi ka message aaye to bus ap apne Notification panel me jakar ke Mobile me jo Flight Mode hota hai usko On kar lijiye.
Step 2:- Ab Whatsapp Ko Open kriye or apne Message ko read kar lijiye
Step 3:- Ab Messages read karne ke baad Whatsapp ko close kar dijiye, Aur ye bhi dhyaan rahe ki Whatsapp ki app ko background me bhi close karde ap.
Step 4:- Ab ap waps apne notification panel me jakar Flight Mode ko off kar dijiye.
Aysa karne se sender ko kabhi nahi pata chalega ki apne unka message read kia hai ya nahi. ap agar iska demo karna chahte hai to ap apne kisi family member ya apne kisi friend ke sath ye trick ko try karskte hai or iska profit dekh sakte hai. So Kysi lagi apko ye Post, agar apko koi nhi question ho ya ap kuch or jaana chahte ho to ap humne contact karskte hai ya ap niche diye huye comment box me bhi apne Question puch sakte hai, ish Post ko read karne ke liye Thanks 🙂
Aysi Posts ke liye HindiMeInfo ko Follow kare Facebook, Twitter, Join FB Group uar Subscribe kare YouTube Channel ko
Also Read: Whatsapp Business kya hai, Hindi me!
nice trick Thank U
Thanks, Dev Parteti