Xiaomi Redmi Note 6 Pro Review in Hindi, Janiye kya khass hai Smartphone me

Xiaomi Redmi Note 6 Pro Ke baare me Janiye

Redmi Note 6 Pro Latest smartphone hai joki Chinese Smartphone maker company Xiaomi ne launch kia hai, Ye Smartphone Purane Xiaomi Redmi Note 5 Pro ka updated Version hai, joki Company ne last year launch kia tha. 15,000 me ye Sabse acha Smartphone tha, joki Market me bahot bika tha, aur sabko bahot acha laga tha. Xiaomi India ka sabse Pyara brand hai. Lakin abhi kuch months se ASUS, Nokia, Motorola, aur Huawei jayse company’s ke Smartphones xiaomi ko bahot competition de rahi hai, aur wo bhi same price range me.

Note 6 Pro me, 6.26-inch ka Full-Screen Display diya gya hai, jiska ki resolution (2280 X 1080 Pixels) ka hai, aur isme 2.5D curved glass display diya hai. Processor ke liye phone me Qualcomm Snapdragon 636 chipset ka 14nm ka octa-core Processor diya gya hai. Note 6 Pro two variants me aata hai, jisme Pehla 3GB RAM aur 32GB internal Storage ke sath, aur Dushara 4GB RAM aur 64GB internal storage ke sath aata hai, aur agar ap Storage ko aur badhana chahte hai, toh microSD card ki help se 256GB tak badha bhi sakte hai.

remi note 6 pro img 3

Redmi Note Series ka ye Pehla Smartphone hai, joki 4 Camera ke sath aata hai, jisme 20MP+5MP ka Dual Rear camera dual-tone LED flash aur Dual Pixel Autofocus ke sath aata hai, wahi 20MP+2MP ka front-facing selfie camera Beautify 4.0 aur Face recognition ke sath aata hai. Isme 2 Hybrid SIM slot digai hai. Phone me Fingerprint sensor rear me diya gya hai, aur Battery ke liye isme 4,000mAh ki non-removable battery digai, Joki micro USB port ke sath aati hai. Ye Smartphone Blue, Black, Rose Gold aur Red colors me aata hai.

Redmi Note 6 Pro Specification

  • Display: 6.26-inch ka Full-Screen Display, with (2280 X 1080 Pixels) Resolution
  • Processor: Snapdragon 636 chipset 14nm Octa-core Processor
  • Storage: 3GB+32GB aur 4GB+64GB, MicroSD card up to 256GB
  • Camera: (20MP+5MP) ka Rear AI Camera aur (20MP+2MP) ka font AI camera
  • Android: v9.0 Pie aur MIUI 10 ke sath
  • SIM: Dual 4G VoLTE, Hybrid SIM
  • Connectivity: Bluetooth v5.0, WiFi, 3.5mm Audio Jack, micro USB ports, FM Radio etc.
  • Security: Fingerprint sensor aur Face Unlock feature
  • Battery: 4,000mAh non-removable battery
  • Colors: Blue, Black, Rose Gold aur Red





remi note 6 pro img 1

Redmi Note 6 Pro Review, Janiye 5 Khass baate Phone ki

Waise toh apko Phone ki Specification se pata chal he gya hoga ki Note 6 Pro kysa phone hoga, aur apko sayad ek idea bhi hogya hoga ki apko agar ye phone lena hua toh ap kya ise lena pasand karnge? Note 6 Pro joki Xiaomi Redmi Note 5 Pro ka updated version hai, aur ye ab India ka ek new Budget smartphone hai, toh chaliye jante hai, Note 6 Pro ke top 5 khassiyat.

1. 4 Cameras

Agar hum baat kare sabse pehli khassiyat ki toh, Note 6 pro me 4 Camera diya gya hai, jisme ki Rear me 20MP+5MP ka camera, toh front me 20MP+2MP ka camera diya gya hai. Dono he front aur Rear camera AI ke sath aate hai, jiski wajh se inki Photo Quality aur bhi jada achi hojati hai, aur ye aur bhi achi Photo click kar lete hai.

2. Iska Display

Note 6 Pro ka Display bahot acha diya gya hai, isme 6.26-inch ka FHD+ IPS LCD Full-Screen Display diya gya hai, jiska ki resolution (1080×2280 Pixels) ka hai. Ye Phone 2.5D Curved Glass Display ke sath isme Corning Gorilla Glass Ka bhi Protection bhi diya gya hai, joki Phone ki Display Life ko aur bhi acha bana deta hai. Ye Redmi Note 5 Pro se bada aur acha hai, Redmi Note 5 Pro me 18:9 ka 5.99-inch ka Full Display diya gya tha. Display ki Brightness aur color contrast bhi bahot acha hai, jise apko ek acha Experience milta hai.

3. P2i Coating

Xiaomi Redmi Note 6 Pro P2i ka Certification mila hai, jo ki ek bahot popular Liquid repellent nanotechnology hai. P2i Coating ka matlb hai ki ye Smartphone Daily ke scratch se protection karega. aur iska matlb ye nahi hai ki ye Water aur Dust resistant hai, bs ye apko phone ko thoda bahot protection jarur karega.

4. Latest MIUI 10 Gesture UI ke sath




Note 6 Pro me Smartphone Mi ke latest MIUI v10 par chalta hai, aur isme bahot jald Pie ka bhi update milega. MIUI 10 me apko bahot saare new gestures ka option milta hai. iske User Interface ke sath-sath Phone ka Soud aur andar ki pre-installed apps bhi new look ke sath aate hai. Apko MIUI 10 ko User Interface bahot acha lagega, aur iske guestures bahot easy bhi hai. MIUI 10 me apko aur bhi bahot saare Customisations ke features mil jaate hai.

5. Processor aur Battery

Hum Jab bhi Smartphone lete hai, toh humari choices hoti hai ki humko kaisa Mobile chaiye, kisiko Camera Phone chaiye hota hai, toh kisi ko ache Display wala. Lakin ek Smartphone me jo sabse important chize hoto hai, wo hoti hai, Smartphone ka Processor aur Battery, quki Processor se apke Phone ki Speed par nirbhar karta hai. Xiaomi Redmi Note 6 Pro me apko Snapdragon ka 636 Chipset ka octa-core processor mil raha hai, jisse Phone ki Performance aur bhi tez ho jayegi, aur isi ke sath isme 4,000mAh ki battery bhi digai hai, jise ye ek acha battery wala Smartphone bhi ban gya hai.

Toh ye tha Redmi Note 6 Pro ke baare me kuch Details, baki apko kysa lga ye smartphone aur, kya ap bhi ye smartphone lena pasand karnge, aur apko kya chiz ish smartphone me achi lagi, hume jarur batye niche diye gye comment box me ki, apko ye smartphone kysa lagta hai, ya apka kya kehna hai ish Phone ke liye.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.

 



Leave a Comment