Whatsapp me bina Typing ke kyse message send kare

Bina Type kiye Whatsapp se message send kare

Hello Dear reader, Jysa ki ap jante hai ki hum sab ajkal social media se kis tarah se jude huye hai, Google aur Apple dono ne he apne AI-powered digital assistants me Whatsapp se related kuch updates liye hai, joki Google Now aur Apple ki Siri me update hua hai, jisse ki ab ap bina apna message type kiye usse send kar sakte hai.

Abhi latest update me whatsapp ne bahot sare new updates laye hai, joki native app me to hai he lakin ab wo third-party apps ke sath bhi use kar sakte hai. Jiske liye unhone apni messaging app me kuch new updates kiye hai.

Google aur Apple dono ne he apne WhatsApp service ke liye new AI-powered update kia hai, joki Google Now aur apple Siri hai. ish update se ab ap apne Android Smartphone aur Apple ke kisi bhi Device se apna message apni Voice se type kar sakte hai. Toh aaiye ab jante hai ki kyse Google aur Apple se bina Type ke message send kar sakte hai.

Google Assistant se kyse message send kare bina Type kiye

hindimeinfo

Google Assistant ke liye apko apne Android Smartphone mein, Google Assistant ko activate kariye, agar apne activate nahi kia ho toh. agar apka google assistant activate hai to apko bolna hai, “Ok, Google” ya phir “Hey, Google” ya phir ap Apne Smartphone me Home button ko long-press karke bhi ish features ka use kar sakte hai, long-press karne ke baad apko bolna hai, “Send a Whatsapp message”, iske baad Google Assistant apse puchega ki ap kisko message send karna chahte hai, phir apko apne phonebook me apne contact ka name bolna hai jisko ki ap message send karna chahte hai. Ab jab aap Google assistant ko bta denge ki ap kisko message send karna chahte hai, uske baad Assistant apko apna message bolne ko kahega, tab apko apna message bolna hai, yad rakehe ki apka message jada bada nahi hona chaiye. Jab ap apna message bol denge tab google assistant apse puchega ki kya ap apna message send karna chahte hai ya nahi, phir apko Yes bolna hai. aur apka message send hojyega.

Ya phir ap Google Assistant me direct apne contact ka name bolkar ye bolsakte hai ki “Send a whatsapp message”, uske baad Assistant apko apna message bolne ko kahega bus phir apko apna message bolkar ushe send karna hai.

Apple Siri se kyse message send kare bina Type kiye

hindimeinfo





Jyse ki ap Google Assistant me message send kar sakte hai bina type kiye, wyse he ap Apple ke phones me bhi siri ki help se messages send kar sakte hai. Iske liye bhi apko ye dhyan rakhna hai ki apne Siri ko actiivate kia ho apne smartphone mein. Ab apko Home button ko long press karke “Hey Siri” bolna hai, ab apko bolna hai “Send a whatsapp message” ya to contact name bolne ke pehle ya phir bolne ke baad, Iske baad Siri apse puchegi ki ap kisko message send karna chahhte hai, uske liye bus apko Name bolna hai, jisko ki ap message send karna chahte hai. jyse he contact select hojye wyse he apko message bolna hai aur send kar dena hai. Aur iske baad apka message send hojyega bina apke message type kiye.

So dear reader ye that ek simple post ki kyse ap whatsapp bina open kiye aur bina type kiye apna message apne kisi bhi contact ko send kar sakte hai, agar apko ye post achi lagi ho to ise jarur apne friends aur family ke sath share kar sakte hai, agar apko ish post se related koi bhi information chaiye ho, ya phir ap kuch aaur humse jaana chahte ho toh ap humse apna question niche diye gye comment box me puch sakte hai. Ye Post Financial express me publish hui thi.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare Facebook, Twitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.

Leave a Comment