Whatsapp Business Kya hai? Kya Khass hai isme?

Whatsapp Business Kya hai Jaaniye hindi me

Hello Friends apka welcome hai humari new post me, Friends aj hum jaanege ki Whatsapp Business kya hai or kya isse koi bhi use karsakta hai ya nahi, to aaiye pahle jaante hai ki ye hai kya or kyse original WhatsApp se alag hai..

Friends Whatsapp Business apke regular WhatsApp ke jysa he hai lakin, ap abhi tak apne WhatsApp me apne Friends ya family ke sath chatting kia karte thee, usi tarh aysi bahot dino se khabr aarahi thi ki WhatsApp business bahot jald aane wala hai, or ye ab aagya hai.

Whatsapp Business Kya hai?

Whatsapp business ek new feature hai joki Facebook daura owned ki hui company hai, jiski ki testing bahot dino se chal rahi thi. Whatsapp Business joki Local or bahot Popular business’s hai unke liye ye messaging app banai gai hai taki wo apne customers se direct buying or selling ki process karsake or apne business ko or logo tak badha sake, iski help se agar apka koi Business hai to ap apna business WhatsApp business par list karke apna business or bhi badha sakte hai. Agar jum abhi tak ki reports ke baat kare to Jo new WhatsApp Business hai wo Orginal Whatsapp se alag hai or iska kaam bhi kuch had tak alag hai. Abhi tak ye ye news aari hai ki ye Service Free rahegi lakin hosakta hai ki baad me ye Paid service bnjaaye or apko apne Whatsapp business ke liye kch paise pay karne pad sakte hai.

Whatsapp vs Whatsapp business

Aage badhne se pahle hum ye jaanlete hai ki ye kyse agar humare smartphone me ye dono Applications hai to hum pahchaanege kyse ki kosi app apke WhatsApp ki hai or kon si Whatsapp business ki hai, ye jaane ke liye dono he WhatsApp ke logo me thoda sa difference hoga taaki apko pareshaani na ho, or wo difference ye hoga ki jyse abhi tak apke WhatsApp ke logo me abhi tak ek CellPhone ki image show hoti thi joki ab Whatsapp Business ke logo me Simple “B” lika hoga, jisse apko pareshaani na ho jysa ki niche digai image me show horaha hai.

whatsapp business kya hai

agar hum baat kare Whatsapp Business ki to isme jo Original Whatsaap me features thee unske jyse same features isme nahi honge. Isme apki Business Profile hogi jo apke business ke baare me information show karegi. yaha par ek interesting baat bhi hai joki hai, ki agar apka koi business hai or apke Office me Landline Number hai jo ki apke Customers ke pass bhi hai to ab ap apne Landline ke Number se bhi apna Whatsapp Business Account ko manage kar sakte hai.

Agar hum or features ki baat kare to isme ek or feature hai jo ki Auto Responses and Analytics hai, jiski help se ap Auto Response Message set kar sakte hai, or ye message jab show hoga apke customers ko jab ap online nahi honge ya phir ap ke business ka time nahi hoga tab jo apne Auto Respond Message set kia hua hai wo apke Customers ko automatically send hojyega. Aur Analytics ki help se ap ye jaan sakte hai ki Apko kitne Messages aaye, Sent huye, Receive huye ya deliver and Read huye hai, ye sab ap dekh sakenge.

whatsapp business auto responce

 

Read also: PayTm aur Tez me kya Difference hai? hindi me jaaiye

 

Original Whatsapp se ye Whatsapp Business ki chat jada alag nahi hai. Whatsapp Business me apki profile me kuch new features add honge jo ki apki location- jaha apka office hai, apka Store, agar apki koi website hai to wo or kuch new features honge, wyse abhi tak to Whatsapp Business Beta Testing me hai or Officially Play Store me nahi aaya hai, lakin aysi news aarahi hai ki bahot jald ye Play Store me officially aayega.

whatsapp business kya hai

sayad ab apko samjh aagya hoga ki Whatsapp Business Kya hai, Aur Friends sayd apko jo chahiye tha wo apko ish post me mila ho, or agar aysa nahi hai ya phir ap or bhi kuch jaanna chahte hai ish post se related ya phir or kuch bhi information apko chaiye to ap hume nice Comment box me puch sakte hai, ya phir agar apka koi Opinion ya Suggestion ho wo bhi ap Comment box me de sakte hai, hume khushi hogi apke Questions ka jawab dene me, Dhanyabaad….

 

5 thoughts on “Whatsapp Business Kya hai? Kya Khass hai isme?”

Leave a Comment