Search Engine kya hai? Aur ye Kaise kam karta hai

Search Engine kya hai? What is Search Engine in Hindi

Hello, Jysa ki ap jante hai ki Internet ajki Date me sabse jada use hone wali chiz hai, hum apni daily life me Internet ka use karte hai. Hum kisi bhi topic ya phir koi bhi aysi chiz jo humko nahi samajh aarahi ho hum usko Internet par search karke apna aunswer khoj lete hai. Ajkal jamana toh Internet ka hai aur Internet bina information ke kuch bhi nahi hai. Jab bhi hume kuch jaanna hota hai, ya hum kuch chize ke baare me pata lagana chahte hai, toh sabse peehle hum Internet ka use karte hai.

Search Engine kya hai

Search Engine ek aysi service hai, jo internet users ko allow karti hai ki wo kuch bhi search kar sakte hai, World Wide Web (www) ki help se. Jab ap Google par kuch search karte hai, ya kuch type karte hai, aur uske apko bahot se suggestions bhi mil jaate hai, aur apne jo bhi Google par search kia hai, apko usse related Search Results mil jaate hai, aur phir apko jish site se wo information milti hai, ap usme chale jate hai, Jaha par apke Search se related Topics, Articals, Images, Videos ya Online Data mil jaata hai, Usse hum Search Engine kehte hai. Jab ap Internet par kuch search karte hai, aur apko jo results milte hai, usko Search Engine Results Page (SERP) kehte hai.

search engines

Search Engine Results Page (SERP) me apne jo bhi search kia tha usse related data aur information collect ki jaati hai, aur apko phir Final result dikhya jata hai. Search Engine Results Page (SERP) par apko jo sabse achi information wali site ya phir jish website par sabse acha Artical ya jo apne Search kia hai usse related Results wali websites apko sabse pehle front page par mil jayngi.

Search Engine Kaise kam karta hai?

Jab bhi ap Google par koi chize Search karte hai, aur jab ap apne Mobile ya computer par Browser par search kartee hai, aur maan lijiye yadi apne likha hai ki “VPN kya hota hai?” toh ye ek terh ka Keyword hota hai aur phir apke search karne ke baad ish Keyword ko World Wide Web (WWW) me dhundha jaata hai, aur jab ye kisi website ki Title, Tags ya Article se match kar leta hai, tab ye apko Search Results me Show karta hai.




Search Engine 3 Steps me kam karta hai, toh chaliye jante hai in Steps ke baare me Detail me.

1. Crawling

Crawling kisi bhi webpage ya website ko search karne ka sabse peehle step hota hai. Jisme kisi bhi Search Engine ke Spiders, bots, ya crawlers Search engine me Submit ki gai sabhi websites par jaate hai. aur waha se unn pages ko collect karte hai, jinse apke daura Search kiye gaye Keywords match hote hai, ya milte julte hai. Uske baad Crawling me milne wali sabhi information ko collect kar leta hai.

2. Indexing

Crawling Ki process ke baad Search Engien me agla step hota hai Indexing ka, Indexing me Jitne bhi crawl kiye gaye webpages hote hao unko wo apne Database me place karta hai. Example ke liye




Maan lijiye ki apne Google par kisi book se related chiz search ki toh toh apke dura jo bhi chize search ki jaati hai wo pehle crawl hoti hai, aur crawling ke baad iski listing karna Indexing kehlata hai.

3. Ranking and Retrieval

Ranking and Retrieval Search Engine ke steps ka sabse aur important step hai, Ranking and Retrieval me kisi bhi web page ki information uske active rehne tak ki sabhi jankari rekhta hai, taaki wo new search results ko jaldi se jaldi dikha sake, iski help se he Search engine sabse achi aur new Content wali websites ko sabse top me rekhta hai. Ranking and Retrieval par he sabhi websites depend hoti hai, aur Website ki ranking bhi yahi se aati hai. Isiliye apne dekha hoga ki ap jab bhi Kuch search karte hai, toh Jin websites par sabse achi Information hoti hai ya jo sabse new article likhte hai, unki site sabse pehle show hoti hai, aur baaki sab uske baad wale pages me.

Duniya ke sabse bade Search Engine ki list

  1. Google
  2. Bing
  3. Yahoo!
  4. Ask.com
  5. AOL.com
  6. Baidu.com
  7. Duck Duck Go





Friends sayad ab apko pata chal gya hoga ki Search Engine kya hai aur ye kaise kam karta hai, aur agar apko ye artical Search Engine kya hai pasand aaya ho toh ye ek bahot achi information hai, jo ap apne Friends aur Family ke sath Share jarur kariye. Agar apko Article me kuch samjh nahi aaya ho, ya phir agar apko aur koi information chaiye ho toh ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hai.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.

 



1 thought on “Search Engine kya hai? Aur ye Kaise kam karta hai”

Leave a Comment