Aadhaar Card me Address Kaise Update kare Online UIDAI

Aadhaar Card me Address update karne ki jankari

UIDAI ne logon ko apane Aadhaar card ko online aur offline donon ko update ya sahee karne ke lie aasaan bana diya hai. yahaan Aadhaar card update ya Aadhaar correct karne ka aasan tarika hai, jisse log aasani se apana Aadhaar card update aur sahee kar sakate hain. Aadhaar card par Aadhaar card address. naam, DOB, Mobile number aur E-mail update karane ke lie niche die gae steps ko follow kare.

Jada tar ek aadmi Aadhaar card me apna Address, name, Date of birth, gender, mobile number aur E-mail ID update kar sakta hai.

Aadhaar Card me Address update karne ke steps

Step 1: Aadhaar card ki website par visit kare joki hai uidai.gov.in

aadhar card update step 1

Step 2: Ab Jo link humne apko di hai, usme click karke “Proceed” me click kare.

Step 3: Ab jaha likha hai Enter Your Aadhaar Number waha apna 12-digit ka number enter kare.

aadhar card update step 2

Step 4: Ab Text verification code box me Enter kare aur “Send OTP” par send kare

Step 5: ek OTP apke registered mobile number, jisko ki apne Aadhaar card banwate time diya tha, usme aayega.

Step 6: Ab jo OTP apko mila hai, usko ap Enter karke, Login me click kare.

aadhar card update step 3

Step 7: Ab Address wale option me click karke, Submit Button me click kare.

Step 8: Ab apna Address, joki Address proof me ho usko enter kare.

Step 9: Ab “Submit Update Request” Button me click kare.

Step 10: Aagar apko apka address modify matlb change karna hai toh phir ap “Modify” wale option me click kare.

Step 11: Ab Declaration wale box me tick karke “Proceed” wale button me click kare.

Step 12: Ab apna Document Type ko select kare, apke Proof of Address (PoA) ke verification ke liye, iske liye ap Electricity bill ya, aur koi Address proof ka use kar sakte hain.

aadhar card update step 5

Step 13: Ab Proof of Address ke baad jaha “Select file and upload” likha hai, waha click karke apne Document ko upload kare. (Ab apne Mobile se photo click karke bhi upload kar sakte hain)

Step 14: Ab confirmation wale box me “Yes” button me click kare.

Step 15: Ab BPO Service provider me apko ek KDMS ka option show hoga, waha par click karke “Submit” button me click kar den.

aadhar card update step 6

Step 16: Jab ap “Submit” button me click kar lenge, uske baad apki request update hone ke baad apko ek E-Print Slip mil jayegi. aur usme apko Update Request Number (URN) Mil jayega, jise ap iska status jan sakte hain.

Toh ab apko samjh aagya hoga ki kaise ap Aadhaar Card me Address ko online update kar sakte hain, aur agar apko koi pareshani aa rahi ho, toh ap humse niche diye gye comment box me puch sakte hain. Aur agar apko ye article acha laga ho, toh ise Jarur Share kare.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.

Read More-

Leave a Comment