Android game ko youtube par live kaise chalaye

Android game ko youtube par live chalaye

Hello Friends, kya apko game khelna pasand hai? kya ap game khelte hain, agar han, to kya apko pata hai ki ap YouTube par Live Game Khelkar Paise kama sakte hain. Ji han ap YouTube par live game khelkar bahot saare paise kama sakte hain. Aise bahot saare YouTubers hain, jo YouTube par bus Game khel kar Online Paise kama rahe hain.

Agar apko bhi game khelna pasand hai, aur agar ap bahot accha game khelte hain to ap bhi YouTube par Game khel kar paise kama sakte hain. Agar ap ek game hain, to ye post apko bahot acchi lagegi, aur apko bahot kuch sikhne ko milega. Abhi tak Game ko sirf Computer ya Laptop par he Live khela jaa sakta tha, lakin ab ap YouTube Gaming par apne Smartphone se bhi Game ki Live Stream kar sakte hain.

Also Read:

Android game ko youtube par live chalane ke liye niche diye gaye steps ko follow karen.

Step 1: Sabse Pehle apko Play Store se YouTube Gaming Application ko install karna hoga.

android youtube live 1

Step 2: Application ko Install karne ke baad Open kare aur, Arrow wale icon me click karen, jysa ki apko niche digai image me show ho raha hoga.

android youtube live 2

Step 3: Ab apke saamne ek pop up open hoga, waha par apko Next Button me click karna hai, jysa ki niche digai image me show horaha hai.

android youtube live 3

Step 4: Ab jab ap Next button me click karnge, tab apke saamne ek popup open hoga, waha par apse pucha jaayega, ki ap Game ko Stream karna chhate hain, ya Record karna chhate hain, aur kis Quality me ap Stream chalana chhate hain, apko Stream wale option me click karke, Next button me click karna hai.

android youtube live 4

Step 5: Ab apko jo bhi game khelna ho, usko select karna hoga, jaisa ki apko niche digai image me show horaha hoga.

android youtube live 5

Step 6: Ab apko apke Game ke Live Stream ki kuch details jaise, ki Title aur Description ko add karna hoga, taaki apki stream ko aur log bhi dekh saken, jysa ki niche digai image me diya gaya hai.

android youtube live 6

Step 7: Ab apke saamne ek Alert message aayega jisme likha hoga ki YouTube Gaming apke Screen ki sabhi chiz Capture karega, aur jaha par likha hoga, Start Now wahan par click karen.

android youtube live 8

Step 8: Ab apke saamne apka game Open hoga, jyse ki humne PUBG game ko select kia tha, aur apke saamne kuch option dikhai denge, unme se apko Live Stream ke liye Tap to Stream wale icon me click karna hai, aur apka game YouTube par live hojyega.

android youtube live 9

To Friends ab apka video YouTube par live hojyega, test karne ke liye ap apne kisi Family Member ya apne kisi Friend ke mobile ya Laptop par apna channel open karke, apni Gaming ki Live Stream ko dekh sakte hain. Ek baat jarur shyan rekhe ki Live Stream ke liye apko ek acche internet connection ki jarurat padegi, tabhi apka live video acche se chalega. ab apko samjah aagaya hoga ki Android game ko youtube par live kaise chalate hain, agar apko koi chiz ya koi step samajh me nahi aaya ho to ap humse niche diye gaye comment box me puch sakte hain.

More Links:

6 thoughts on “Android game ko youtube par live kaise chalaye”

Leave a Comment