HDD aur SSD kya hota hai? Aur inme Kya Difference hai

HDD aur SSD ki Puri Jankari

Hello, Kya ap ko pata hai ki HDD aur SSD kya hote hai? Inka Matlb kya hai, ya phir inka kya Use hota hai humare Laptop ya Desktop me, agar nahi toh aj hum isi topic ke baare me jaanege aur, agar apko pata hai toh koi baat ni ho sakta hai ki kuch knowledge apke bhi kam aajye. Agar apko Confusion ho raha hai ki HDD kya hota hai, ya SSD kya hota hai, ya inme kya Difference hai, ya phir inme se konsa best hai.

HDD kya hai?

hdd image

HDD ka Full form hai, Hard Drive Disk jisko hum short me HDD bolte hai, HDD ko sabse pehle IBM Company ne bnya tha. HDD ek terh se Memory Drive hoti hai jiska use bahot pehle se Computer me ho raha hai. Hard Disk me data ko store karne ke liye rotating Disk ka use hota hai jiske upar ek magnetic Head laga hota hai jo data ko read karta hai, Jab bhi Data ko Write ya read karna hota haito ye disk bahot hi fast rotate hone lagti hai, aur tabhi apka data transfer hota hai.

HDD ko Use karne ka sabse bada profit ye hota hai ki bahot kam kimat me humko bahot saara Data store karne ko mil jata hai, aur ye SSD se bahot sasta bhi hota hai, isliye jada tar log HDD wale Laptop ya computer lena pasand karte hai. HDD me apko bahot jada Storage ko option milta hai, aur apko 2TB, 3TB, aur 5TB se bhi jada tak ki HDD market me mil jayegi, aur ye apko jada mehgi bhi nahi padegi.

SSD Kya hai?

ssd

SSD ka Full form hai, Solid State Drive, SSD me HDD ke jyse koi moving part nahi hota hai, jiska matlb ye hai ki apki Memory Drive Solid State me hoti hai. ye ek terh se Flash drive ki terah hoti hai jaise ki apki Pendrive ya memory card hote hai, Solid State me hone ki wajh se ye HDD se bahot jada fast hote hai, tabhi SDD jada tar Apple apne Laptops aur Desktops par use karta hai.

SSD me NAND Flash memory ka use kia jata hai, aur ye ek non-volatile memory ki terh hoti hai. SSD jab market me aaya tha tab log iska jada use nahi karte the, lakin ab SSD ka use dhree-dhree badh raha hai, aur logon ko jaise iske baare me information milti jaarahi hai, wo SSD ko use karna chah rahe hai. SSD bahot costly hota hai, iski price HDD se bahot jada hoti hai, isiliye ye bahot kam Laptops aur desktops me use ki jaati hai.

HDD aur SSD dono me se kon behtar hai?

1. Battery Life

SSD me bahot kam battery ka use hota hai, wahi HDD me jada battery ka use hota hai, jiski wajh se SSD wale Laptops jada battery backup dete hai, aur HDD wale kam.




2. Storage Capacity

Agar hum baat kare sabse jada storage ki toh apko HDD me sabse jada storage milta hai, wo bhi kam Price me, wahi SSD me apko Storage ke liye bahot jada Price deni padegi.

3. Starting Time

SSD me Computer bahot jaldi open hota hai, SSD me 10-15 sec me apka computer start hojata hai, wahi HDD me apka computer 25-35 sec me start hota hai.

4. File/Data Transfer Speed

SSD me File ya Data transfer karne ki speed bahot jaldi hoti hai jisme SSD ki transfer speed 250 MB/s se 500 MB/s tak ki hoti hai, wahi HDD ki File ya Data Transfer speed bahot slow hoti hai aur jada tak ye 60/ MB/s se 150 MB/s tak ki speed hoti hai.

5. Price / Cost

SSD Fast hone aur bahot sare features ki wajh se bahot costly hota hai, wahi HDD jada costly nahi hota hai, HDD market me aasani se mil jata hai lakin SSD aasani se nahi milta hai.

India me jada tar log HDD wala laptop lena pasand karte hai, quki ye Sasta hone ke sath-sath isme bahot saare Storage ka option mil jata hai, joki apko SSD me nahi mil pata hai, aur SSD wale Laptops ka use jada tar Software banane wale log karte hai, quki unko storage se jada Fast perforance ki jarurat hoti hai.




apko kya lagta hai, ki kon jada acha hai HDD aur SSD me se, ya phir ap ab konsa Laptop ya Desktop lena pasand karenge, ap humse jarur bataye niche diye gye comment box me, aur agar apko ye Artical acha laga ho toh ise apne Friends aur Family ke sath Whatsapp, ya Facebook kahi bhi Share kar sakte hai. Ise post ko ap jada se jada logon tak share kare taki hum isi terh se apke liye naye-naye Artical likhte rahe aur ap tak wo articles ko pahochate rahe.

Huumari humesha yahi kosis rehti hai ki kaise hum apne readers ki help karte rahe, aur agar apko kabhi bhi kisi bhi chize se relaed problem ho toh wo ap humare sath share kar sakte hai, hum jarur apki help karne ki kosis karnge, ap humse niche diye gye comment box me ya phir contact bhi kar sakte hai.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



Leave a Comment