Ab Google jobs Search Tool apki Help karega Jobs Search karne ke liye India mein

Google Jobs Search tool in Hindi

Abhi Last year Google ne Jobs Search Tool ko United States me launch kiya tha aur Google ne ye feature ko India me bhi launch kardiya hai, to aaiye jaante hai iske baare me kya khass hai isme.

Jyse ki ap Google aysa kai bar Search karte honge ki “jobs for freshers”, “Jobs near me”, ya phir “Jobs for me” tab apko bahot saari websites dekhne ko mila karthi thi, ab Google jobs search tool ki help se ishpar 90,000 se jada ki listing ki gai hai. Google ne kaha hai ki ye search tool unlogo ke kaam aayega jo net par bahot sarri websites par jobs search karte rahte hai, toh ab unlogo ko jobs search karne me help hogi or unko unki choice ki jobs ke baare me details mil jayngi ish Google Jobs Search tool ki help se, aur ap ispar apne collage se nikal kar experienced managers tak ki jobs ke baare me search kar sakte hai.

Ish tool ko helpfull banane ke liye Google aysi bahot saari jobs hiring platforms ke sath milkar ye tool bnya hai, iske liye google ne bahot saare platforms jyse Quickerjobs, LinkedIn, aur Shine.com jyse platforms ke sath milkar ye Jobs Search tool bnya hai. iske liye bus apko apni pasand ki job ke liye google search par type karna hai uske baad apko apke jobs se related bahot saare options mil jynge, aur iske sath-sath apko ush job ke liye Online apply karne ki process ki link bhi mil jyegi. Ye unlogo ke liye bahot kaam ki chiz hai jo humesha new-new jobs ke liye google par search karte rahte hai, iska advantage ye hoga ki apko bahot saari websites me ghoomna nahi padgega bus ek bar google par search karne apko apki jobs se related bahot saari listings dekhne ko mil jyegi.

Google Jobs Search img

Google Jobs Search Tools me ayse bahot saare Filters bhi diye gye hai jiski help se ap apni pasand ki jobs ke baare mesearch karsakte hai. jysi ki apko search karna hai ki abhi current me jonsi post apke liye aur kaha kis location par hai, aur kab tak apply kar sakte hai ye sab fillters ap yaha par karsakte hai. Ap ispar E-mail alert bhi kar sakte hai jiski help se ap new jobs ki information ko apne Email par bhi pa sakte hai, aur ap jobs ko save bhi karsakte hai jisse ki ap usko baad me read bhi kar sakte hai.




So Dear friend sayad ab apko ish Google Jobs Search tool ke baare me samjh aagya hoga, agar apka koi question ho ya ap humse kuch puchna chahte ho ish post se related ya aur bhi kuch aur to humse puch sakte hai niche diye gaye comment section me ya phir ap humse contact bhi kar sakte hai, ish post ko read karne ke liye apka Dhanyabaad 🙂

Ayse he Articles ke liye HindiMeInfo ko Follow kare Facebook, Twitter, Join kare FB Group aur Subscribe kare YouTube Channel ko.

Also Read: AMOLED Display kya hai? AMOLED vs OLED 

source in English

728x90 MilesWeb USD

Leave a Comment