GDPR for Bloggers in Hindi. Kya Ye Apke Liye Laagu hoga ya isko apply kyse kare

GDPR for Bloggers in Hindi

Disclaimer: Ye Post me koi legal advice nahi digai hai. Agar apko legal information chaiye to ap GDPR ki website par dekh sakte hai. Ish post me sirf jo humne read kia hai aur jo humne samjha hai GDPR se related wo hum apse discuss karnge, toh chaliye suru karte hai.

Wyse Ye Post to Bloggers ke liye hai, so agar ap ek blogger nahi hai to sayad ye post apke kaam na aaye, lakin agar ap ek blogger hai toh phir ye post apko jarur read karni chaiye jisme ki apko GDPR ke baare me knowledge hoga aur humari jo ye post hai GDPR for Bloggers ke baare me samjh paange, toh ye post ko jarur ache se read kare. Maine ye post isliye likhne ka socha quki mai khud ek blogger hu aur mujhe laga ki ye aur bloggers tak bhi paohchana chaiye.

gdpr preparations chart

Ish post se pahle GDPR kya hai wo Detail me yaha se Read kare

GDPR Kya hai aur ye Qu Important hai?

GDPR- General Data Protection Regulations Jo ki 25 May 2018 se Laagu hoga, aur isi ke sath ye ek bada Update hoga Data Protection Act ka. GDPR Website owners, Bloggers aur online Shopping sites ke liye bnya gya hai, Joki Users ke data ka sahi use aur wo use kiliye kar rahe hai iske liye bnya gya hai.

GDPR kis liye Apply hua hai aur ise kyse apply kare.

Jsya ki hum ish post me GDPR for Bloggers ke baare me jaan rahe hai, uski tarh se koi bhi personal information, matlb ki ap koi bhi information apne users ki le rahe hai wo kisliye le rahe hai aur agar apke user chahte hai ki unki information apke site se delete hojye toh kya ap unki information Delete karnge ya nahi ye apko apne site ki privacy me add karna hoga.

Hum apko kuch advises denge, jo ki simple advice hogi ki kyse ap users ka data collect karte hai aur usko process karte hai ye mention hoga, toh jo importnat advices hai uske points kuch ayse hai.

  • User registrations
  • Comments
  • Analytics aur Traffic logs
  • Contact Forms Entries
  • Plugins and Security

Ayse koi bhi Plugins joki ap apni website par use kar rahe hai wo bhi GDPR ko follow karne wali honi chaiye, ek website ke owner hone se apki ye responsibility hai ki ap jobhi plugine apne Site par Use kar rahe hai uske User data ko Export/Import/Delete kiya ja sakta hai ya nahi aur kya wo GDPR ke rules ke andar aata hai ya nahi, ye jaana apke liye bahot jaruri hai.

gdpr privacy image

Bloggers ko kya karna Band karna hoga:-

  • Auto opt-ins
  • Ap jobhi Email adress ka Use karte hai wo sahi tarike se karna hoga
  • Apne Users ka data kisi aur ko bahi dena, nahi to ye GDPR ke rules ke khilaaf hoga
  • Data Collection karna band kar dijye jaha uska use na ho jyse ki Comments/Contact forms
  • User ka data bina unki permission ke use karna band karna hoga

Bloggers ko Kya Karna chalu karna hoga:-

  • Jab bhi ap apne User ka koi bhi data Use kar rahe ho to uski information apko users ko deni hogi.
  • Apko apni site me data processing aur Security ki policy baanai chaiye
  • Kuch bhi kaam jab ap kare user ke data se related to pahle unse puch len
  • Data ke Protection ke liye ache se usse secure rakhe

Toh agar hum ish puri post ki baat kare to humko lagta hai ki GDPR bahot sahi rule hai aur isse Online world me bahot help bhi milegi. Bahot se logon ko to sayad ye acha nahi lagega lakin bahot se logo ko ye acha laga hai quki isse unke customers se unka acha relation ban jaayega GDPR se, aur isse online business me aur transparency aur clarity bhi aajyegi.

So dear reader to apko ye GDPR for Bloggers ki post samjh me aagai hogi, aur agar apko kuch samajh nahi aaya hoga to ap humse puch bhi sakte hai niche diye gye comment section me, ish post ko read karne ke liye apka dhanyabaad, Have a Nice Day and Happy blogging 😉

Aysi he Posts ke liye HindiMeinfo Ko Follow kare Facebook, Twitter, Join kare FB Group aur Subscribe kare YouTube Channel ko

Leave a Comment