Face ID kya hai? Kyse Ye Smartphone me Use Hota hai

Face ID kya hai Jaaiye Hindi Me

Jyse-Jyse Technology badh rahi hai wyse-wyse bahot se new-new Technology ka invention ho raha hai. Ajkl har field me technology ka use hota hai phir wo chahe koi bhi chiz ho ajkl har jah iska use horha hai. Agar hum baat kare pichle kuch Years ki to jab Facebook, Whatsapp Aur Amazon, Flipkart jyse Websites aaye the tab kisi ne nahi socha tha ki hum ghar baith kar bhi shopping kar sakte hai ya phir kisi se free me kisi se baat kar sakte hai phir chahe wo aadmi kahi bhi baitha ho. Jab ye sab technology aage badh rahi thi ussi time Smartphone ka craze bhi bahot tezi se badhta gya or aj to har aadmi ke pass ek Smartphone jarur hai, phir chahe wo Lower class ho ya upper class ho. To ayse he aj hum baat karne jarahe hai ki aakhir ye Face ID kya hai? or ye kyse kaam karta hai. to aaiye jaante hai

Face ID kya hai?

Face ID ek Facial recognition system hai (face ki photo lena) jisko ki Apple ne apne iPhone X Smartphone ke liye bnaya hai. ye ek tarh ka biometric authentication technology hai jisko ke hum Face ID bolte hai. Jysa ki abhi tak hum apne smartphone me fingerprint sensor ka use karke apne smartphone ko Unlock kar lete hai usi tarh Face ID bhi work karta hai, Jyse hum apne fingers ko pahle apne smartphone me verify karte hai usi tarh Face ID ko bhi setup karna padta hai. Jyse ki hum apni finger se apne smartphone ko unlock karlete hai usi tarh se Face ID me apna Face Verify karne ke baad hum apne Face se apna smartphone unlock karskte hai.

face id in hindi iamge

Face ID ke liye Smartphone me HD Camera ke sath ayse bahot saare sensors hote hai, joki Ek (Machine learning) AI (Artificial Intelligence) ki help se apke face ki ek image bnali jaati hai, uske baad ap apne smartphone ko apne Face ki Help se Unlock kar sakte hai.

Kya Face ID Safe hai?

Ji han Face ID bahot jada safe hai, yaha tak ki ye apke Fingerprint sensor se bhi jada safe hai. iska sabse acha example hai iPhone X jo ki sabse pahla Smartphone hai jisne ji ye Face ID ko apne smartphone me lya hai.
Face ID Automatically apke Face me ho rahe changes ko dek sakta hai, agar apne face me koi cosmetic makeup lgya hai, ya phir apne face me hair bada liya ho, chahe apne face me saving he qu na ki ho Face ID sab dek sakta hai or wo apka face pahchann lega. or ye chahe low light ho ya jada dark light ho sabhi jagh ye kaam karta hai. To ab ap smjh gye honge ki face ID kitna safe hai.

Ap Face ID ka Use kaha-kaha kar sakte hai?

Aakhir last me baat aati hai ki hum face ID ka use kyse kar sakte hai or kyse iska fayda le sakte hai, to ye rahe kuch examples

  • Sabse pahle to ye apne smartphone ko Unlock kar skta hai.
  • Kisi ki bhi identity proof karne ke liye bhi iska use hota hai.
  • Office me attendance lene ke liye use hoskta hai.
  • Machine learnings and AI ki testing ke liye bhi iska use hoskta hai.
  • Ap jab kabhi apne smartphone se Online Payment kar rahe ho to bhi ap iska use karskte hai apke Passoword ke rup me.
  • Apni Importnat fils ko aur bhi safe karne ke liye bhi iska use hoskta hai.

Toh Friends ye tha ki Face ID kya hai. sayad ab apko smjh aagya hoga ki Face ID Kya hai or ye kyse kaam krta hai, and iska kya-kya use hai, toh agar apka koi bhi question ho jo ap humse janna chahte hai to ap humse niche diye gye commnet box me puch sakte hai, hume bahot khushi hogi apki help karne me, ish post ko read karne ke liye Thanks 🙂

Ayse he Articals ke liye Hindimeinfo ko Follow kare Facebook, Twitter mein aur Subscribe kare YouTube Channel ko.

Leave a Comment