Chromecast kya hai? Kaise Banaye apni TV ko ek Smart TV

Chromecast kya hai? Cromecast ki help se banaye apni TV ko Smart TV

Hello Dear Reader, kya apne socha hai kabhi ki apke Ghar me jo LED ya LCD TV hai, unko ap Smart TV bana sakte hai, ya ap apne mobile se YouTube ke Videos aur bhi bahot si chize apne Mobile me chala sakte hai aur TV par dekh sakte hai. Ji han ap Google Chromecast ki help se apne LED ya LCD TV ko Smart TV bana sakte hai, toh chaliye iske baare me detail me baat karte hai.

Chromecast kya hai?

Google Chromecast ek terh ka Digital Media Device hai, jisko ki Google ne banya hai, aur ye CAST ki Help se apke mobile ki sabhi chize apke LED TV par dikhata hai. Ap apne Laptop aur Mobile se TV me Cast kar sakte hai, Ap Chrome Browser me bhi kuch bhi daal kar TV Screen me Chromecast ki help se dekh sakte hai. Ap apne Mobile se YouTube, Netflix aur apne Phone se videos TV par dekh sakte hai.

Chromecast image 2

Chromecast ek Devive hai jo ki HDMI Port ki help se apke TV me lagta hai, aur USB Cable ki bhi help se TV me lagta hai. Ap apne Computer ya Smartphone ko Remote ki terh se use karke Photos, Videos aur Supported apps ko TV par dekh sakte hai. Chrome Browser se ap kuch bhi open kar ke TV par dekh sakte hai.

  • Chromecast ka First Generation 2013 me launch hua tha, aur ye tab Sirf Video streaming ke kaam aata tha.
  • Chromecast ka Second Generation 2015 me launch hua tha, aur ye 1080p tak ke videos ko stream kar sakta hai.
  • Chromecast ka Third Generation 2016 me Launch hua tha, aur ye tha Chromecast Ultra, jo ki 4K Ultra HD videos ko stream karne ke kaam aata hai.

Chromecast ko kaise use kare?

Chromecast image 3

Chromecast ko use karne ke liye apke pass HDMI port wala HD TV ya LED TV hona chaiye aur sath he apke pass Smartphone ya Computer hona chaiye. Chromecast me ek USB Cable aur Adapter diya jata hai. Agar apki TV me USB port hai toh Chromecast ko power dene ke liye ap cable ko port me laga sakte hai. Agar ap Chromecast ko Phone me chalana chhatae hai toh apke Mobile ka Operating system ya tha Android ya iOS hona chaiye, aur Computer Mac OS ya Windows hona chaiye, tabhi ap Chromecast ka acha use kar payenge.’

Chromecast ko kaha se Buy kare?




Chromecast ko agar apko Buy karna hai, toh ap isko Online Site Flipkart ya Amazon se Buy kar sakte hai. Google Chromecast 2 ki Price Rs. 3999 hai, aur Chromecast 3 Media ki Price 3,499 hai Flipkart hai. apko online Chromecast achi aur kam price me mil jayega.




Ab sayad apko pata chal gya hoga ki Chromecast kya ha, ya iska kya use hai, aur ye humare liye kaise helpful hai, aur agar apko ye information achi lagi ho toh ap isko apne Friends aur Family ke sath jarur Share kare aur unko bhi Chromecast kya hai hai aur iska kya use hai, uski jankari dilaye, taki wo bhi isee use kar sake.

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



Leave a Comment