Blogger Se WordPress me kaise Switch kare? Bina kisi loss ke

Blogger Se WordPress me Migrate kare apni Website

Hello, kya ap apni blogger wali website ho joki Blogspot me bnai hai, usko WordPress me switch karna chahte hai? wyse toh Blogger ek bahot acha Platform hai blogging ke liye lakin jyse-jyse time change ho raha hai, wyse-wyse Blogs bhi change hote jaa rahe hai, aur ayse me agar ap bhi ek blogger hai, aur apki bhi site blogger me hai, toh ap apni site ko WordPress me daal de. WordPress me apko bahot saare features mil jate hai, joki apke liye bahot useful hosakte hai, yaha tak ki WordPress me aysi bahot se chize hai jinki help se ap apni website ko aur bhi acha bana sakte hai. To aaiye hum aaj apko batate hai ki kyse ap Blogger Se WordPress me apni website ko migrate kar skate hai, bina kisi loss ke.



Note: Kuch bhi chize karne ke pehle hum apko ye kehna chahenge ki ap apni website ka ache se Backup le len ek bar, uske baad he ye Method ko apply kare.

Bahot se ayse Users hai, joki Blogger se apni site ko WordPress me move karna chahte hai, aur sath he wo apne blogger site ke pages, posts, comments aur users ko bhi apne WordPress site par move karna chahte hai, aur jiski process bahot easy hai. WordPress me ek inbuilt feature hota hai, jiski help se hum apni Blogspot wali site ko WordPress me move ya switch kar sakt hai, toh chaliye suru karte hai.

Blogger ke Export aur WordPress ke Import Features ki help se ap ani sites ko move kar sakte hai.

Blogger Se WordPress me site data import karne ki method

1. Sabse Pehle ap WordPress aur Blogger me log in kare, alag-alag tab me Blogger aur dushare me WordPress Dashboard me login kare.




2. Ab ap Blogger me Setting > Other > Back up content me jakar apne apne blog ka Back up bana len apne computer me. Apke pass XML File apke blog ka back up save hojyega.

Blogger Se Wordpress me 3

3. Ab ap WordPress ke Dashboard me login karle uske baad apko Left Dashboard wale side par Tools ka option show hoga, usme jakar apko sabse uper blogger ka option dikhega, jaha par apko Install Now ka option hoga, apko Install Now ke option me click karna hai.

download

4. Ab jaha par apko Install Now ka option dikh raha tha, waha par ab apko Run Importer ka option show hoga, ab apko Run Importer me click karna hai.

Blogger Se Wordpress me 2

 

5. Run Importer me click karne ke baad ab apko jysa niche digai image me show horaha hai, wysa page show hoga, ab apko jaha par choose File ka option show ho raha ho waha par click karna hai aur apke Computer me jo Blogger ki XML Back up file download ki thi usko waha par upload karna hai, Jyse he apki XML File upload hojye, ap Upload file and Import wali Blue Button me click kar dijiye.

Blogger Se Wordpress me 4

Jyse he ap Upload file and Import wali button me click karenge wyse he ap Blogger Se WordPress me switch kar lenge, aur wo bhi bina kisi Data loss ke.




Toh Friends deekha apne kyse humne itna jaldi bina kisi problem ke jaldi se apni Blogger wali website ko WordPress me import karliya aur wo bhi bina kisi problem ke. Toh kysi lagi apko ye method Blogger Se WordPress me transfer karne ki, aur kya ap bhi jante hai, aysa karna ya phir apka koi suggestion jo ap humare sath Share karna chahte ho, ap niche diye gye comment box me apna suggestion HindiMeInfo ke sath Share kar sakte hai.

Agar apko ye artical helpful laga ho toh ap ise social sites par bhi share kar sakte hai, aur apne friends aur blogger friends ke sath share kar sakte hai, aur unki bhi help kar sakte hai.

Important Links- 

Ayse he Posts ke liye HindiMeInfo ko follow kare FacebookTwitter, Join FB group aur subscribe kare YouTube Channel ko.



2 thoughts on “Blogger Se WordPress me kaise Switch kare? Bina kisi loss ke”

Leave a Comment