AMOLED Display kya hai? OLED aur AMOLED me kya Difference hai

AMOLED Display kya hai jaaniye Hindi me

Hello Dear Reader, Jysa ki ap jaante honge ki ek time tha jab hum kisi ke pass agar Smartphone dekhte thee to sochte the ki kass humare pass bhi hota aur ab aysa time hai ki apko alg-alg types ke smartphone’s dekhne ko mil jaynge aur wo bhi har jagh koi na koi apne smartphone ko dekhta hua apko jarur nagar aayega. Ab to aysa hogya hai ki agar thodi der ke liye bhi apka smartphone apke pass nahi ho to apko kuch acha nahi lgta smartphone ke bina, wo din the jab Mobile Phones bus phone lagane aur uthane ke liye use kia jaata tha, aur ek time ab hai jab Smartphone hum sab ki ek jarurat ban gya hai aur aysa kabhi kisi ne socha bhi nahi hoga ki ek din aysa bhi aayega apki life me.

Ab Aj ke ish time me jab har kisi ke pass smartphone’s hai aur wo bhi alg-alg brands ke aur ab log aur jada aware hogye hai aur wo apni choise ke hisaab se he smartphone lete hai naki kisi ke force karne par, wo apne hisab se Smartphone ke display size, RAM, Memory, Camera, Processor aur battery ke hisab se apne choise ka smartphone lete hai.Ayse me hum ap ko ek sabse badi baat bta de ki insab chiz ke alawa sayad ap Smartphone me kon si Display lgi hui hai wo jaanna bhul jaate honge ya jaruri nahi samjhte honge lakin Phone ke specification ke alawa Display kosi Quality ka hai ye jaana bhi apke liye bahot jaruri hona chaiye to aaiye bina der kiye huye hum aage badhte hai aur jaante hai ki AMOLED Display kya hai aur Difference Between OLED and AMOLED in Hindi.




Sabse pahle hum jaange ki AMOLED Display aur OLED Display hote kya hai uske baad ap ko batynge unke difference ke baare me to chaliye suru karte hai.

AMOLED Display kya hai?

amoled img 1

AMOLED ka full form hai (Active Matrix Organic Light Emitting Diode) Smartphone aur other Devices me use hone wali Ek Display Technology hai jo ki bahot tezi se badh rahi hai. AMOLED Display OLED Display’s se thodi jada achi hoti hai. AMOLED Display Cathode layer, Organic active layers, TFT array aur Substrate se mil kar banti hai jise apke smartphone ke pixels aur ache dikhte hai, aur ye high contrast ratio ke sath aate hai aur bahot kam power consume karte hai example ke liye ap Samsung ke Note Series aur S Series Smartphone ko dekh sakte hai unme AMOLED display ka he Use kia jata hai.

OLED Display kya hai?

oled img 1

OLED ka Full Form hota hai (Organic Light Emitting Diode) isme ek thin-film display technology ka use kiya jaata hai jo OLED kahlata hai. OLED Displays AMOLED se thoda kam hote hai lakin ye bhi bahot kam power consume karte hai aur jiski wajh se isme jada Dark colours dikhte hai jysa ki apne Apple iPhone X me dekha hoga quki iPhone X me OLED Display ka use kia gya hai.

Also Read: QLED Display kya hai? QLED aur OLED me kya difference hai

OLED vs AMOLED? Kon sabse acha hota hai

Ab ap ye to jaane he gye honge ki AMOLED Display kya hai aur OLED kya hai, to ab jaante hai ki in dono Mein difference kya hai? Jysa ki ap ko abhi tak smjh aagaya hoga ki ye dono ek Display technology hai joki bahot popular hai ajkl smartphone’s me jitne bhi Samsung aur Apple ke bade smartphone’s hai unme inka Use hota hai. To friends wyse to dono me jada kuch difference ni hai lain OLED ko hum ek tarh se AMOLED Display ka part bol sakte hai aur AMOLED Display thoda sa jada acha maana jata hai, Ap khud indono ke Smartphones ko lekar inka Compare kar sakte hai tab apko bhi thoda sa difference pata chal jyega indono ke baare me, Indono me ek chiz achi hoti hai Other Displays se ki ye bahot kam power consume karte hai taki apko ek acha battery backup mil sake aur uske sath-sath apko ek acha high contrast ka display bhi milta hai apne smartphone me.

Toh ab sayad ab ap smjh gye honge ki AMOLED Display kya hai aur OLED or AMOLED Display me kya difference hai ya phir kon sabse acha hota hai, toh dear reader agar ye post apko achi lagi ho to isko apne relatives ke sath bhi jarur share kare aur unko bhi jaankari de, Agar apko humse kuch puchana ho ya apka koi question ho to ap humse niche diye gye comment section me puch sakte hai. Ish Post ko read karne ke liye apka Dhanyabaad Have a Nice Day 🙂

Aysi he Articles ke liye Hindimeinfo ko Follow kare Facebook, Twitter join kare FB Group aur Subscribe kare YouTube Channel

1 thought on “AMOLED Display kya hai? OLED aur AMOLED me kya Difference hai”

  1. Agar AMOLED Display OLED Display se achha hai to apple company hamesha OLED Display hi kyu banati hai aur itna mahanga, jabki oppo vivo aaj kal AMOLED SUPER AMOLED DISPLAY de rhe hain vo bhi kam daam pr

    Reply

Leave a Comment