YouTube Par Video bnakar Paise Kyse Kamaye

YouTube ke baare mein janiye Hindi Mein

Hello Friends aaiye jaante hai ki YouTube Par Video Bana kar Kyse Paise Kamaye jaate hai kyse YouTubers YouTube Ki Help Se Lakho Rupaye kamaate hai. App bhi Soch rahe honge ki YouTube Se paise kyse kamaye, jyse aur log kama rahe hain. aaiye jaante hai ki YouTube se paise kyse kamaye jaate hai Hindi mein jaaniye.

Aaj kal harkoi chahta hai ki uska bhi ek YouTube Channel Ho jispar wo Apni Videos banakar Upload kar sake aur usse Paise kama sake. YouTube par Video Upload karne ke liye koi Age limit nahi hai agar ap Student hai, Old age hai, Wommen hai ya men hai isse koi phark nahi padta ap Apna Video YouTube Par Upload karsakte hai aur iske liye apko YouTube Paise bhi dega, uske liye apko bss Video bnana hai aur usko YouTube Par Upload karna hai. aaiye Detail mein Kuch Important Poitns ki Help se jaante hai ki YouTube Se Paise kyse kamaye jaate hai aur kyse ap bhi iska laabh utha sakte hai.

Untitled 2 copy

YouTube Kya Hota Hai?

YouTube ek Website hai joki ek Video Uploading ki Website hai jisme ki puri duniya ke log apne Videos bana kar daalte hai, or iske sath wo acha khassa Paisa bhi kamate hai.

YouTube Par Paise kamane ke liye kya karna padega?




Iske Liye sabse pahle to apke pass ek Google account hona chahiye, agar nahi hai to pahle apna ek Google account joki Gmail par bnta hai usse bna le. Iske baad apko YouTube par jaakar bs apne Google account se Login karna hoga usse ke baad ap apna YouTube Channel aasani se bana sakte hai. Channel bnane ke baad Ap ek acha sa name rakh lijiye apne YouTube Channel ka or Video Upload Kariye. iss baat ko ache se samjh lijiye ki apko paise Sirf Video Upload karne par nahi milega, paise apko tab milenge jab apka video koi dekhega, jitna jada apka video koi dekhega utna jada ap paise kamyenge.

Kiss Type ke Video Upload Kare YouTube Par?

Adult Film ko chorkar ap YouTube par koi si bhi video Upload karsakte hai, Jyse ki agar apko acha khana bnana aata hai, ya ap acha gaana gaate hai, ya phir ap funny videos bhi upload karsakte hai. Agar ap ek Teacher hai to ap YouTube par Apni free me Classes bhi Chala sakte hai, ya agar ap ek Doctor hai to Health se related Tips bhi Share kar sakte hai, Agar apko acha Dance aata hai to ap uska bhi Video Upload karsakte hai, agar apko ko Mobile ki Duniya ke baare mein acha Knowledge hai to ap usska bhi Video bana kar YouTube Par Upload kar sakte hai. Bus apko Dhyaan ye rakhna hoga ki apko Video acha bna ho uski Quality achi ho Sound acha hai apne jo Video bnya hai wo acha ho.

Kyse Upload karte hai Video YouTube par?

aaiye jaante hai ki YouTube Par PC Ya Phir Mobile se Video Kyse Upload Krte hai. YouTube Par Video Upload Karna Bahot he aasan hai aaiye jaante hai ki wo kon-kon se steps hai jo apke liye kaam ke hai. YouTube Par Video Kyse Upload krte hai jaane ke liye Humari full post read kariye aur Detail me janiye ki Kyse YouTube Par Video Upload karte hai Niche Digai Link par click kariye.

Ish Link me Click Kariye:- YouTube Par Video Kyse Upload Kare?

Kamai Kyse Hoti hai YouTube ke Video Se?

Video to har koi daalna chahta hai YouTube me lakin wo ye bhi sochte hai ki hum ish Video Se paise bhi kama sake to ha apko YouTube par Video Upload Krne ke Paise bhi Milenge. Iske Liye Apko Apke Video Me ad Dikhane honge joki Monetize karne par hoga, Monetize karne ke baad he apke Video Me ad dikhai denge. Dhyaan Rahe ki Sirf Monetize karne se kaam nahi chalega iske liye apko Google ka AdSense Account bhi chahiye hoga, joki apko apne Google Account se Sign Up karna hoga. Jab Ap apna AdSense Account YouTube Se Link kardenge tab YouTube apke Video par Ad Dikhyega or uss Ad se apki kamai hogi.

YouTube Videos ke views ke uper bhi Paise deta hai. Iska Matlb hai ki agar apke Video me 1,000 Viwes aagye hai (Matlb ki jab apka Video log 1,000 bar dekenge) tab apko $1 US Doller yaahi 64 Rupaye milenge. Agar apko apke kamaye gaye Paise ko Apne Bank Account me Transfer karne hai to dhayn rake jab tak jab apki income $100 US Doller yaani 6,400 Rupaye ke aas pass hojyegi tabi ap apni income ko Apne Account me Transfer karsakte hai. Adsense ki income alag milti hai. Apke income ki payment India me EFT Yaani “Electronic Fund Transfer” ke jariye hoti hai. To ab ap samjh gaye honge ki YouTube par Video bana kar paise kyse kamaye jaate hai, agar apko kuch samjh nahi aaya ho ya ap kuch puchna chahte hai to niche diye gaye Comment Box me apna Question kar sakte hai apko apke Question ka Solution jarur milega.

Read Also: Online Earning kisme sabse jada hoti hai Website vs YouTube

1 thought on “YouTube Par Video bnakar Paise Kyse Kamaye”

  1. sir,I am a big fan of you, I see your post daily and get very good information.it, please approved it
    shivatechnical.com/gb-road-delhi-rate-list
    shivatechnical.com/kamathipura-mumbai

    Reply

Leave a Comment