Gmail ke bina YouTube Par Account Kyse banaye

YouTube Par Account kyse bnaye Gmail ke bina

Hello, Friend aapka swagat hai humari new post me, Dost aj hum Jaanege ki kyse Gmail ke bina YouTube par Account bna sakte hai. Jysa ki ap jaante hai ki YouTube poore world ka sabse bada or sabse popular Video Dekhne ki website hsi, or yaha tak ki Video Upload karke YouTube se paise kamaye jaate hai. Bahot se log YouTube par Video Upload karna chahte hai lakin wo Gmail ka Accounct na hone ki wajh se Video Upload ni karpaate hai, YouTube par Video Upload karne ke liye apko Sign in karna padta hai, to aaiye apki ye galat faymi duur karte hai, Agar apke pass gmail ka account nahi to koi problem nahi hai ap iske bina bhi YouTube par Video Upload karskte hai, to aaiye jaane hai ki kyse YouTube par Video Upload kare wo bhi bina Gmail Account ke.

Read Also: YouTube se Paise Kyse Kamaye 

Gmail ke bina YouTube me account Kyse banaye

(1) Sabse pahle ap apne Browser me YouTube ki site ko open kare, Or ish baat ka dhyaan rakhe ki apka koi or Gmail account Open na ho uss browse me, Ab YouTube ke Page me sabse upar Right side me jaha par “Sign In” Likha hai waha par click kare.

 

Youtube

 

(2) Jyse he ap Sign In par Click karenge apke saamne ek Sign In ka Window Open hoga jysa ki niche digai image me dikhya gya hai. Ab apko “More Options” me Click karna hai.

youtube

 

(3) Ab apke saamne ek new Window Open hoga ab Yaha par apko “Create Account” par click karna hai.

youtube

(4) Ab apke saamne jyse niche digai image me show ho raha hai wysa ek Form open hoga, ye bikul wysa he dikh raha hai jysa ki New Gmail Account banate waqat aata hai lakin ye Form kuch alag hai, ab apko Pura Form ache se Fill karna hai, Sab information ko ache se bharne ke baad ab apko jaha “Next Step” Likha hai waha par Click karna hai.

youtube

(5) Jyse he ap Next Step par Click karenge apke saamne ek new page Open hoga Jis me ki Google ki Privacy and Terms likhi hongi, ab apko sirf jaha par “I Agree” Likha hua hai waha par Click karna hai.

youtube

 

(6) Ab apko apke Gmail Account me jo abhi apne bnya hai waha par Inbox me ek mail aayega uss mail me ek link aayegi apko bs ush link me Click karna hai, aysa karne ke baad kuch aysa jysa niche digai image me dikh raha hai aysa page open hoga, yaha par apko jaha “Continue To YouTube” likha hai waha Click karna hai.

youtube

(7)  Mubaarak ho ab ap YouTube par sign in kar chuke hai wo bhi bina Gmail Account ke. Ab ap isi tarah se jitnaa chhaahe utne YouTube par Account bana sakte hai.

youtube

Ab ap acchi tarah se jaan chuke honge ki kyse Gmail ke bina YouTube par Account bna sakte hai, Ayse bahot saare or bhi tareeke hai aysa karne ke lakin ye sabse acha or easy method hai. agar apko ye post achi lgi ho ya phir ap bhi aysa kuch jaante hai or koi si method to hume jarur bataye, ap niche diye gaye Comment Box me apni baat bol sakte hai. Agar apko or kuch bhi puchna ho ish post se related ya phir Kuch or internet se related to ap puch sakte hai, ish post ko read karne ke liye apka dhanyabaad.

Also Read: YouTube Par Video Kyse Upload karte hai

2 thoughts on “Gmail ke bina YouTube Par Account Kyse banaye”

Leave a Comment